Sunday, September 27, 2015

Jab Bhi Ik Shaam

Jab bhi ik shaam yaad aati hai
Jesay duniya theher si jaati hai

Ik taraf dil hain, ik taraf duniya
Aur yeh scene kaainaati hai

Yoon bhi hota hai sher, baaz auqaat
Jesay bijli si koond jaati hai

Maut se hamkalaam honay ke
Zindagi raastay dikhaati hai

Haar hoti hai aarzi, us ko
Bay-dili, mustaqil banaati hai

Haadsay aik pal nahin ruktay
Zindagi hai keh chalti jaati hai

Is ke dam se hain raunaqain saari
Yeh jo duniya ki bay-sabaati hai

Baat koi samajh nahin aati
Baat itni samajh mein aati hai

~ Amjad Islam Amjad

Yaddasht Bakher (Nostalgia)

I hope all is well with everyone reading this. Bohot arsay se apnay is blog ke baaray mein soch rahi thi. Un dinon ke baray mein jo bohot khushgavar bhi thay aur mushkil bhi. Apnay abbu ke ghar mein, apnay kamray mein beth kar is blog ko update karna aur comments ka muntazir rehna bohot accha lagta tha. Tab mein aur ab mein bohot farq hai. Ab main aik shaadi shuda ghareloo aurat hoon, jo ghardaari aur apni bacchi ki zimmedaariyon mein aisi ulajh gayee hai keh kabhi kabhi to khud ko bhool jaati hai. Ghar, shauhar, beti, susraal, parhaayee (main Master's kar rahi hoon; on a break this semester), internship (I counsel adolescents with substance abuse issues; on a break this semester), aur bas, yehi meri duniya ban gayee hai. Per aik kami si, aik adhoora pan sa mehsoos hota hai, khaas ker is liye bhi keh mera shauhar ko shaairi se kuch khaas lagaao nahin hai. Un chand logon ki pazeeraai yaad aati hai jo aik zamanay mein meray blog per baqaidgi se apni raaye detay thay: Raheem Shahzad, Abid, Rida. Khuda karay aap sab jahaan hon, khush hon. I miss you all.

Friday, November 22, 2013

Gehray Aashnaao.n Se

Gehray aashnaao.n se rasm-o-rah qayamat hai
Tairna na aaye to doob jaana parta hai

Khoo.n mein jab mehekta hai zaaiqa mohabbat ka
Kitni talkh yaadon ko bhool jaana parta hai

Koi jaltay mausam mein aashna nahin hota
Har kisi ko bojh apna khud uthaana parta hai

Dil mein jab utarta hai zehr-e-karb-e-tanhaayee
Pattharon se bhi Farigh jee lagaana parta hai

~Farigh Bukhari

Tuesday, November 19, 2013

Hum Ko Kis Ke

Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahaani phir sahi
Kis ne tora dil hamaara ye kahaani phir sahi

Dil ke lutnay ka sabab poocho na sab ke saamnay
Naam aayega tumhaara ye kahaani phir sahi

Nafraton ke teer kha kar doston ke sheher mein
Ham ne kis kis ko pukaara ye kahaani phir sahi

Kya bataayen pyaar ki baazi vafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun haara ye kahaani phir sahi

~Masroor Anwar

Monday, September 2, 2013

Aata Hai Yaad Mujhko

Aata hai yaad mujhko guzra hua zamaana
Vo baagh ki bahaarein vo sab ka chehchahaana

Aazaadiyaan kahaan vo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana apni khushi se jaana

Lagti ho chot dil par, aataa hai yaad jis dam
Shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskuraana

Vo pyaari pyaari soorat, vo kaamni si moorat
Aabaad jis ke dam se tha mera aashiyaana

~ Allama Iqbal

Monday, August 26, 2013

Aa Ke Patthar

Aa ke patthar to mere sehen mein do chaar giray
Jitnay us pe.D ke phal thay pas-e-deevaar giray

Aisi dehshat thi fazaaon mein khulay paani ki
Aankh jhapki bhi nahin haath se patvaar giray

Mujhay girna hai to main apnay he qadmon mein giroon
Jis tarah saayaa-e-deevaar pe deevaar giray

Teergi chor gayee din mein ujaalay ke khutoot
Ye sitaaray mere ghar toot ke bekaar giray

Dekh kar apnay dar-o-baam laraz uthta hoon
Meray hamsaaye mein jab bhi koi deevaar giray 

Vaqt ki dor Khuda jaanay kahan se tootay
Kis ghari sar pe ye latki hui talvaar giray

Ham se takra gayee khud barh ke andheray ki chataan
Ham sambhal kar jo bohot chaltay thay naachaar giray

Haath aaya nahin kuch raat ki daldal ke siva
Haaye kis mor pe khaabon ke parastaar giray

Kya kahoon deedaa-e-tar ye to mera chehra hai
Sang kat jaatay hain baarish ki jahan dhaar giray 

Dekhtay kyoon ho Shakeb itni bulandi ki taraf
Na uthaaya karo sar ko keh ye dastaar giray

~Shakeb Jalali

Tuesday, April 23, 2013

Khuda Vo Vaqt Na Laaye

Khuda vo vaqt na laaye ke sogvaar ho tu

Sukoo.n ki neend tujhe bhi haraam ho jaaye
Tiri masarrat paiham tamaam ho jaaye
Tori hayaat tujhe talkh jaam ho jaaye
Ghamon se aaina-e-dil gudaaz ho tera

Taveel raaton mein tu bhi qaraar ko tarsay
Tiri nigaah kisi gham gusaar ko tarsay
Khizaan raseeda tamanna kisi bahaar ko tarsay
Koi jabee.n na tiray sang-e-aastaan pe jhukay

Khuda vo vaqt na laaye keh tujh ko yaad aaye

Vo dil ke teray liye beqaraar ab bhi hai
Vo aankh jis ko tira intezaar ab bhi hai

~ Faiz Ahmed Faiz

Thursday, April 18, 2013

Youn Arz-o-Talab Se

Youn arz-o-talab se kab aye dil, patthar dil paani hotay hain
Tum laakh raza ki khu daalo, kab khu-e-sitamgar jaati hai

Bedaad garon ki basti hai yaa.n daad kahaan khairaat kahaan
Sar phorti phirti hai nadaa.n fariyaad jo dar dar jaati hai

Haan, jaa.n ke zeyaa.n ki hum ko bhi tashveesh hai lekin kiya kijay
Her reh jo udher ko jaati hai, maqtal se guzar ker jaati hai

Hum ehl-e-qafas tanha bhi nahin, her roz naseem-e-subh-e-watan
Yaadon se moattar aati hai, ashkon se munavvar jaati hai

~Faiz Ahmed Faiz

Thursday, April 11, 2013

Jahaan Kashti Ruki Meri

Jahaan kashti ruki meri kinaara aur tha koi
Jisay main dost samjha tha sitaara aur tha koi

Falak ki balcony mein Khuda khaamosh betha tha
To kiya in girnay vaalon ka sahaara aur tha koi

Bujhi aankhon ke daaman mein jami thi dhool barson ki
Voh chehra ab jo dekha hai dobaara, aur tha koi

Bohot aadil sahi munsif, magar insaaf kesay ho?
Gavaahi aur hai, qaatil hamaara, aur tha koi

Hava ki simt dekhi aur kashti daal di hum ne
Khula aa ker samandar mein ishaara aur tha koi

Fiza mehki chaman jaaga, achaanak khil uthay taaray
Kisi ke muskuraatay he nazaara aur tha koi

Vohi maanoos lehja tha, vohi aavaaz thi Amjad
Magar jo murr ke dekha to pukaara aur tha koi

~ Amjad Islam Amjad

Sunday, April 7, 2013

Aankhon Ka Rang

Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya
Vo shakhs aik shaam mein kitna badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah per nahin rahi
Jaatay he aik shakhs ke kiya kiya badal gaya

Hairat se saaray lafz usay dekhtay rahay
Baaton mein apni baat ko kesa badal gaya

Kehnay ko aik sehen mein deewaar he bani
Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

Shayed wafa ke khel se ukta gaya tha vo
Manzil ke paas aa ke jo rasta badal gaya

Aankhon mein jitnay ashk thay jugnu se ban gaye
Vo muskuraaya aur miri duniya badal gaya

~ Amjad Islam Amjad

Wednesday, December 5, 2012

Kabhi Main Yaad Aaoon

Kabhi Main Yaad Aaon To
Kabhi Tanhai Ki Raatein
Tumhein Zyada Sataein To
Kabhi Titli Na Boley To
Kabhi Jugnoo Laut Jayein To
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye To
Koi Jab Sun Na Paaye To
Agar Sab Dost Saathi Bhi
Jo Tum Sy Rooth Jayein To
Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar
Thakan Sy Choor Ho Jao To
Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley
Ro Na Pao To
Apni Aankhon Ko Band Karna
Mujhy Aawaz Dena
Aur...
Phir Mere Tasawur Se
Jo Chaho Keh Dena
Mere Kaandhy Pe Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena
Phir Jab Khud Mein Laut Jao To
Issi Dunya Mein Chaley Jana
Magar Bass Itna Kehna Hai
K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein
Humein Dil Sy Pukaro Ge
Humein Saath Pao Ge
Humein Paas Pao Ge

Wednesday, November 28, 2012

Nazar Mila Na Sakay

Nazar mila na sakay us se us nigaah ke baad
Wohi hai haal hamara jo ho gunaah ke baad

Main kesay aur kis simt morrta khud ko
Kisi ki chaah na thi dil mein teri chaah ke baad

Zameer kaamp to jaata hai aap kuch bhi kahain
Vo ho gunaah se pehlay keh ho gunaah ke baad

Gavaah chaah rahay thay vo begunaahi ka
Zabaan se keh na saka kuch Khudagavah ke baad

Khatoot kar diye vaapas magar meri neendain
Unhain bhi chor do ik rehem ki nigaah ke baad

~Krishan Bihari Noor

Friday, September 14, 2012

Umr Jalvon Mein Basar Ho

Umr jalvon mein basar ho yeh zaroori to nahin
Her shab-e-gham ki seher ho yeh zaroori to nahin

Chashm-e-saaqi se piyo ya lab-e-saagar se piyo
Bekhudi aathon peher ho yeh zaroori to nahin

Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Un ki aaghosh mein sar ho yeh zaroori to nahin

Shaikh karta to hai masjid mein Khuda ko sajday
Us ke sajdon mein asar ho yeh zaroori to nahin

Sab ki nazron mein ho saaqi yeh zaroori hai magar
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaroori to nahin

~Khamosh Dehlvi