Friday, February 23, 2007

Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Ban jaayen Hum Donon

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayen hum donon

Na main tum se koi ummeed rakkhoon dil-navazi ki
Na tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazron se
Na meray dil ki dharkan larkharaaye meri baaton main
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se

Ta'aruf rog ho jaaye to us ko bhoolna behtar
Ta'alluq bojh ban jaaye to us ko torna accha
Vo afsana jisay takmeel tak lana na ho mumkin
Usay aik khoobsoorat mor de ker chorna accha

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayen hum donon

~Sahir Ludhianvi

Monday, February 12, 2007

Jo Utar Ke Zeena-e-Shaam se...

One of my MOST favorites...

Jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-khush main sama gaye
Vahi jaltay bujhtay se mehr-o-maah meray baam-o-darr ko saja gaye

Ye ajeeb khel hai ishq ka main ne aap dekha ye mo'jza
Vo jo lafz meray guma.n main thay vo teri zuba.n per aa gaye

Vo jo geet tum ne suna nahin meri umr bhar ka riyaz tha
Meray dard ki thee dastaa.n jisay tum hansi main ura gaye

Vo chiragh-e-jaa.n kabhi jis ki lau na kisi hava se nigoo.n huii
Teri be-vafayee ke vasvasay usay chupkay chupkay bujha gaye

Vo tha chaand shaam-e-vasaal ka keh tha roop teray jamaal ka
Meri rooh se meri aankh tak kisi roshni main naha gaye

Ye jo bandgaan-e-neyaaz hai ye tamaam hai vo lashkari
Jinhain zindagi ne amaa.n na dee to teray huzoor main aa gaye

Teri berukhi ke deyaar main main hava ke saath hava hua
Teray aainay ki talaash main meray khaab chehra ga.nva gaye

Teray vasvaso.n ke fishaar main tera sharaar-e-rang ujarr gaya
Meri khaahisho.n ke ghubaar main meray maah-o-saal-e-vafa gaye

Vo ajeeb phool se lafz thay teray hont jin se mehek uthay
Meray dasht-e-khaab main door tak koi baagh jesay laga gaye

Meri umr se na simat sakay meray dil main itnay savaal thay
Teray paas jitnay javab thay teri ik nigaah main aa gaye
(This is one my absolute favorite shers)

~Amjad Islam Amjad

Thursday, February 8, 2007

Naye Kapray Badal Ker Jaaoon Kahaan...

Naye kapray badal ker jaaoon kahaan aur baal banaoon kis ke liye
Vo shakhs to shehr he chor gaya ab khaak uraaoon kis ke liye

Jis dhoop ki dil ko thandak thee vo dhoop usi k saath gayee
In jalti bujhti galiyon main ab khaak uraaoon kis ke liye

Vo shehr main tha to us ke liye auron se milna parta tha
Ab aisay vesay logon ke main naaz uthaaoon kis ke liye

Ab shehr main us ka badl he nahin koi vesa jaan-e-ghazal he nahin
Aivaan-e-ghazal main lafzon ke guldaan sajaoon kis k liye

Muddat se koi aaya na gaya sunsaan pari hai ghar ki fiza
In khaali kamron main Nasir ab shama jalaaoon kis ke liye

~Nasir Kazmi

Sunday, February 4, 2007

Faaslay

Faaslay aisay bhi hon ge ye kabhi socha na tha
Saamnay betha tha meray aur vo mera na tha

Vo keh khushbu ki tarah phela tha meray chaar su
Main usay mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha

Raat bhar us ki he aahat kaan main aati rahi
Jhaank ker dekha gali main koii bhi aaya na tha

Aks to maujood thay per aks tanhaayee ke thay
Aaiina to tha magar us main tera chehra na tha

Aaj us ne dard bhi apnay alehda kar diye
Aaj main roya to meray saath vo roya na tha

Ye sabhi veeraaniyaan us ke juda honay say theen
Aankh dhundlaayee huii thee shehr dhundlaya na tha

Yaad kar ke aur bhi takleef hoti thee Adeem
Bhool jaanay k siva ab koii bhi chaara na tha

~Adeem Hashmi