Friday, March 30, 2007

Dil Main Kitnay Ehd Baandhay Thay Bhulaanay Ke Usay

Dil main kitnay ehd baandhay thay bhulaanay ke usay
Vo mila to sab iraaday torna accha laga

Be-iraada lams ki vo sansani piyari lagi
Kam tavajjo aankh ka vo dekhna accha laga

Neem shab ki khaamoshi main bheegti sarkon pe kal
Teri yaadon ke jalo main ghoomna accha laga

Us uduay-e-jaa.n ko Amjad main bura kesay kahoon
Jab bhi aaya saamnay vo bevafa accha laga

~Amjad Islam Amjad

Friday, March 23, 2007

Marg-e-Soz-e-Mohabbat

Phir oat le ke daaman-e-abr-e-bahaar ki
Dil ko manaayen hum, kabhi aansu bahaayen hum
Suljhaayen be-dili se ye uljhay huay savaal
Vaa.n jaayen ya na jaayen, na jaayen keh jaayen hum

Phir dil ko paas-e-zabt ki talqeen kar chukay
Aur imtihaan-e-zabt se phir jee churaayen hum
Aao keh aaj khatm hui daastaan-e-ishq
Ab khatm-e-aashqi ke fasaanay sunaayen hum

~Faiz Ahmed Faiz

Monday, March 12, 2007

Yu.nhi Besabab Na Phira Karo...

Yu.nhi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
Vo ghazal ki sacchi kitaab hai, usay chupkay chupkay parha karo

Abhi raah main kayee mor hain koi aaye ga koi jaaye ga
Tumhain jis ne dil se bhula diya usay bhoolnay ki dua karo

Mujhay ishtihaar si lagti hain ye muhabbaton ki kahaaniyaan
Jo kaha nahin vo suna karo, jo suna nahin vo kaha karo

Ye khizaan ki zard si shaam main, jo udaas per ke paas hai
Ye tumharay ghar ki bahaar hai, isay aansu.on se hara karo
(per = darakht = tree)

Koi haath bhi na milaaye ga jo galay milo ge tapaak se
Ye naye mizaaj ka shehr hai, zara faaslay se mila karo

~Bashir Badr

Sunday, March 11, 2007

Mujh Se Pehli Si Muhabbat Meray Mehboob Na Maang

Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang
Main ne samjha tha keh tu hai to darakhshaa.n hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kiya hai
Teri soorat se hai aalam main bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya main rakkha kiya hai
Tu jo mil jaaye to taqdeer nigoo.n ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siva
Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang

An-ginat sadiyon ke taareek baheemana tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwaab main bunvaaye huay
Jaabaja biktay huay koocha-o-bazaar main jism
Khaak main lithray huay khoon main nehlaaye huay
Jism nikaalay huay amraaz ke tanooro.n se
Peep behti hui galtay huay naasooro.n se
Laut jaati hai udher ko bhi nazar kiya kiijay
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kiya kiijay
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siva
Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang

~Faiz Ahmed Faiz

Friday, March 2, 2007

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Kheyaal Aata Hai...

Kabhi kabhi meray dil main kheyaal aata hai

Keh zindagi teri zulfo.n ki narm chaao.n main
Guzarnay paati to shadaab ho bhi sakti thee
Ye teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazr ki shuaao.n main kho bhi sakti thee

Ajab na tha keh main begaana-e-aalam ho ker
Teray jamaal ki ra'naaiyyon main kho rehta
Tera gudaaz badan, teri neembaar aankhain
Inhi haseen fasaano.n main mehev rehta

Pukaartee.n mujhay jab tilkhiyaa.n zamanay ki
Teray labon se halavat ke ghoont pee leta
Hayaat cheekhti phirti birhna-sar aur main
Ghaneri zulfo.n ke saaye main chup ke jee leta

Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Keh tu nahin, tera gham, teri justuju bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jesay
Isay kisi ke sahaaray ki aarzu bhi nahin

Zamaanay bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjaani guzargaaho.n se
Muheeb saaye meri simt barhtay aatay hain
Hayaat-o-maut ke pur-haul khaarah-zaaron se

Na koi jaada, na koi manzil, na roshni ka suraagh
Bhatak rahi hai khalaao.n main zindagi meri
Inhi khalaao.n main reh jaaoo.n ga kahee.n kho ker
Main jaanta hoon meri hum-nafs magar yoonhi

Kabhi kabhi meray dil main kheyaal aata hai...

~Sahir Ludhianvi