Thursday, September 27, 2007

Teri Rehmaton Ke Deyaar Main

Teri rehmaton ke deyaar main teray baadalon ko pata nahin
Abhi aag sard nahin hui, abhi aik alaao bujha nahin
Meri bazm-e-dil to ujarr chuki, mera fars-e-jaa.n to simat chuka
Sabhi jaa chukay meri hamnashee.n magar aik shakhs gaya nahin
Dar-o-baam sab ne saja liye, sabhi raushni main naha liye
Meri ungliyaa.n bhi jhulas gayeen magar aik chiraagh jala nahin
Gham-e-zindagi! teri raah main shab-e-aarzu teri chaah main
Jo ujarr gaya vo basa nahin, jo bicharr gaya vo mila nahin
Jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh ke bhi door tha
Vahi aik gulaab ummeed ka meri shokh-e-jaa.n pe khila nahin
Pas-e-karvaa.n sar-e-rahguzar main shikasta paa hoon is liye
Keh qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin
Mira hamsafar jo ajeeb hai to ajeeb tar hoon main aap bhi
Mujhay manzilon ki khabar nahin usay raaston ka pata nahin

~Unknown

Wednesday, September 19, 2007

Faqeer Ban Kar

Faqeer ban kar tum un ke dar par hazaar dhooni rama ke betho
Jabee.n ke likhay ga kiya karo ge, jabee.n ka likha mita ke dekho

Aye un ki mehfil main aanay vaalo, aye sood-o-sauda bataanay vaalo
Jo un ki mehfil main aa ke betho, to saari duniya bhula ke betho

Bohot jataatay ho chaah hum se, magar karo ge nibaah hum se?
Zara milaao nigaah hum se, hamaaray pehlu main aa ke betho

Junoo.n puraana hai aashiqon ka, jo yeh bahaana hai aashiqon ka
To ik thikaana hai aashiqon ka, huzoor jungle main jaa ke betho

Hamain dikhaao na zard chehra, liye yeh vehshat ki gard chehra
Rahay ga tasveer-e-dard chehra, jo rog aisay laga ke betho

Janaab-e-Insha yeh aashiqi hai, janaab-e-Insha yeh zindagi hai
Janaab-e-Insha jo hai yehi hai, na is se daaman chura ke betho

~Ibn-e-Insha

Saturday, September 1, 2007

Tum Door Thay To Kiya Hua

Tum door thay to kiya hua
Tum mil gaye to kiya hua
Veeraaniyaan kam na huiin
Tanha tha main, tanha raha
Ik aas thee tum aao ge
To zindagi mil jaaye gee
Ik baar dekho ge idhar
To raushni mil jaaye gee
Jab aa gaye to kiya hua
Aankhain meri jalti raheen
Aur dil mera bujhta gaya
Tum door thay to kiya hua
Tum mil gaye to kiya hua
Ye to koi milna nahin
Keh faaslay hon darmiyaan
Khaamoshiyaan donon taraf
Tanhaaiyyaan donon taraf
Go raasta to aik hai
Per hamsafar hon ajnabi
To kis baat ka milna hua?

~Unknown, also a song by Vital Signs

What was the big deal when we were apart?
What is so great when we got together?
The silence remained...
I was alone before you came, I remained lonely even after you came.
I thought things would get lively with your arrival (in my life)...
I thought when you'd look at me, there would be light everywhere...
But when you came, my eyes kept stinging (the same feeling when you've cried for a long while)
My heart kept dying
What was the big deal when we were apart?
What is so great when we got together?
This is no union,
That there remain distances and silence between two people.
What's the point of a union when even though you're walking the same path, your partner is a stranger to you?!