Tuesday, December 30, 2008

ﺧﻮﺍﺏ - ﺑﺴﻴﺮﺍ

ﺍﺱ ﻭﻗﺖ ﺗﻮ ﻳﻮﮞ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﮯ ﺍﺏ ﻛﭽﮫ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﻴﮟ ﮬﮯ
ﻣﮩﺘﺎﺏ ﻧﻪ ﺳﻮﺭﺝ ﻧﻪ ﺍﻧﺪﮬﻴﺮﺍ ﻧﻪ ﺳﻮﻳﺮﺍ
ﺁﻧﻜﮭﻮﮞ ﻛﮯ ﺩﺭﻳﭽﮯ ﻣﻴﮟ ﻛﺴﯽ ﺣﺴﻦ ﻛﯽ ﺟﮭﻠﻜﻦ
ﺍﻭﺭ ﺩﻝ ﻛﯽ ﭘﻨﺎﮨﻮﮞ ﻣﻴﮟ ﻛﺴﯽ ﺩﺭﺩ ﻛ١ ﮈﻳﺮﺍ
ﻣﻤﻜﻦ ﮬﮯ ﻛﻮﺋﯽ ﻭﮬﻢ ﮬﻮ ﻣﻤﻜﻦ ﮬﮯ ﺳﻨﺎ ﮬﻮ
ﮔﻠﻴﻮﮞ ﻣﻴﮟ ﻛﺴﯽ ﭼﺎﭖ ﻛ١ ﺁﺧﺮﯼ ﭘﮭﻴﺮﺍ
ﺷﺎﺧﻮﮞ ﻣﻴﮟ ﺧﻴﺎﻟﻮﮞ ﻛﮯ ﮔﮭﻨﮯ ﭘﻴﮍ ﻛﯽ ﺷﺎﻳﺪ
ﺍﺏ ﺍ ﻛﮯ ﻛﺮﮮ ﮔﺎ ﻧﺎ ﻛﻮﺋﯽ ﺧﻮﺍﺏ ﺑﺴﻴﺮﺍ
ﺍﻙ ﺑﻴﺮ ﻧﮫ ﺍﻙ ﻣﮩﺮ ﻧﮫ ﺍﻙ ﺭﺑﻂ ﻧﮫ ﺭﺷﺘﻪ
ﺗﻴﺮﺍ ﻛﻮﺋﯽ ﺍﭘﻨﺎ ﻧﮫ ﭘﺮﺍﻳﺎ ﻛﻮﺋﯽ ﻣﻴﺮﺍ
ﻣﺎﻧﺎ ﻛﮫ ﻳﮫ ﺳﻨﺴﺎﻥ ﮔﮭﮍﯼ ﺳﺨﺖ ﺑﮍﯼ ﮬﮯ
ﻟﻴﻜﻦ ﻣﻴﺮﮮ ﺩﻝ ﻳﮫ ﺗﻮ ﻓﻘﻂ ﺍﻳﻚ ﮔﮭﮍﯼ ﮬﮯ
ﮨﻤﺖ ﻛﺮﻭ ﺟﻴﻨﮯ ﻛﻮ ﺍﺑﮭﯽ ﻋﻤﺮ ﭘﮍﯼ ﮬﮯ

~
ﻓﻴﺾ ﺍﺣﻤﺪ ﻓﻴﺾ

Sunday, December 28, 2008

Jin Ko Na Milna Ho

Jin ko na milna ho
Vo kiyoon jeevan rustay mein aatay hain
Dil ko tarpaatay hain
Aankhon mein bus jaatay hain
Jin ko na milna ho
Vo kiyoon jeevan mein
Pal pal yaad aatay hain
Rooh mein utartay hain
Tasavvur mein poochtay hain
Hum yaad aatay hain?
Haa.n
Tum yaad aatay ho

~Unknown

Monday, December 22, 2008

Lamakaa.n Mein Ghar Banaaya Yaar Ne

This is aarifana kalaam in which poet presents a complaint to his Lord.

Hum ko yaa.n dar dar phiraaya yaar ne
Lamakaa.n mein ghar banaaya yaar ne
lamakaa.n = a place with no end, infinity

(He made a house beyond the universe and made me wander all over the place in its search... in his search)

Aap apnay dekhnay ke vaastay
Hum ko aaina banaaya yaar ne

(He wanted to see himself in me. He wanted to mold me into his personality, so he shaped me to be just like him)

Apnay ik adna tamaashay ke liye
Hum ko sooli per charhaaya yaar ne
adna = haqeer, negligible

(He tortured me just for the sake of his amusement. The poet is expressing some pain and grief here, that he was put through misery just to keep observers busy... just so they'll have something to look at)

Aap chup ke hum ko kar ke rubaru
Khoob he rusva karaaya yaar ne
rubaru = to present
rusva = embarass


(We were partners in crime, but when time came to take the blame, he hid himself and presented me to the world to face the shame)

Aap to but ban ke ki jalwa-giri
Aur hamain kaafir banaaya yaar ne
jalwa-giri = showing

(He decided to expose himself through statues, which will be worshiped. But when I came to worship said statues, I was labeled as a disbeliever)

Sirr-e-shaan-e-beneyaazi khul gayee
Jis taraf rukh ko phiraaya yaar ne
sirr = secret, raaz
beneyaazi = indifference
rukh = side (as in that of a picture)


(He was so beautiful, so perfect that he didn't need to care for anything. He was all he needed, which was why he was indifferent to the world. The fact of his perfection was revealed through each and every move and turn he made. No matter what characteristic of his he'd present to the world, it was the epitome of perfection)

~Niyaaz Barelvi

Sunday, December 14, 2008

Aik Aarzu

Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon ya Rabb
Kiya lutf anjuman ka jab dil he bujh gaya ho
ukta = tired, worn out, sick of

lutf = pleasure
anjuman = gathering


(O Lord, I'm tired of this worldly life, these routines, these daily chores. What is the point of having people around when the heart is worn out?)

Shorish se bhaagta hoon dil dhoondta hai mera
Aisa sakoot jis per taqdeer bhi fida ho
shorish = noise

sakoot = calm, peace

(I run away from noise, in search of peace and quiet. Since fate has destined this nuisance , this chaos for me, if I found the calm that my heart needs, even fate wouldn't be able to, be cruel enough, to take such marvelous peace away from me)

Marta hoon khaamshi per yeh aarzu hai meri
Daaman mein koh ke ik chota sa jhompra ho
koh = hill, mountain

jhompra = hut

(I'm a die hard fan of silence. I wish to have a hut at the bottom of a hill)

Aazaad fikr se hoon uzlat mein din guzaaroon
Duniya ke gham ka dil se kaanta nikal gaya ho
uzlat = poverty (but the word isn't taken in its literal form here. It's simply employed to borrow the idea of freedom from worries that accompany riches, wealth, fame, and so on)


(I want to be free from the responsibilities that inevitably come with a worldly life. I don't want to have these concerns pinching me anymore)

Lazzat sarod ki ho chiriyon ki chehchahon mein
Chashmay ki shorishon mein baaja sa baj raha ho
sarod = a musical instrument, kind of like
'sitaar'
chehchahon = chirping or birds

(A place where when the birds chirp, it gives the illusion of sarod playing in the background; a place where even the stream's running water would sound like a musical instrument. [Since music brings peace and calm to the soul])

Ho haath ka sarhaana sabzay ka ho bichona
Sharmaaye jis se jalvat khilvat mein vo ada ho
bichona = spread (noun)

jalvat = present, seeable
khilvat = absent, unseeable

(Nothing too fancy. A place where I'd use my arm as a pillow, the earth's green as my bed spread... a place which is so private that exposing it out in the open would embarass the world [because the world is deprived of such beauty])

Maanoos is qadar ho soorat se meri bulbul
Nannhay se dil mein us ke khatka na kuch mera ho
maanoos = familiar

khatka = fear

(I want the surroundings to be familiar of me. I want the birds to be so used to my presence that if I were to approach them, they won't fly away)

Ho dil-fareb aisa kohsaar ka nazaara
Paani bhi mauj ban kar uth uth ke dekhta ho
dil-fareb = exquisite

mauj = leher, waves, tide

(I want the view of the hiltop to be so breathtakingly beautiful that the lake's water would want to jump up and see it)

Aaghosh mein zamee.n ki soya hua ho sabza
Phir phir ke jhaariyon mein paani chamak raha ho
aaghosh = lap


(I want greenery and dew everywhere)

Mehndi lagaaye sooraj jab shaam ki dulhan ko
Surkhi liye sunehri her phool ki qaba ho
qaba = outfit


(When the sun would set, I'd want its departing rays to make all the flowers appear golden)

Pichlay peher ki koel vo subha ki muazzin
Main us ka hamnava hoon vo meri hamnava ho
muazzin = he who calls to prayers

hamnava = sing-along partner

(At dawn, when the birds wake up to pray, I want to be accompanying them in their praise and admiration of God and nature)

Phoolon ko aaye shabnam jis dam wuzu karaanay
Rona mera wuzu ho naala meri dua ho
naala = malady, fariyaad


(When dew would fall to ablute flowers, I want my tears to be my cleansing agents. Since tears come when the heart is in pain or it realizes its fault and is guilty, the poet is expressing the wish to be remorseful at that hour, at dawn, so he can start his day fresh - a new beginning. He also wants his malady to be his prayer, so he can convey it to God and let God put him at ease)


Is khaamshi mein jaayen itnay buland naalay
Taaron ke qaaflay ko meri sada dara ho
dara = audible


(I want my inner maladies to be so loud, to be so strongly audible that even stars, which are so far away, be able to hear it. [Making sure it gets out of the system])

Her dardmand *dil ko rona mera rula de
Behosh jo paray hain shayed unhain jaga de

(I want my tragedies to touch every heart and I want my cries to wake up those who are oblivious to my pain. [Asking for the ear of those who hold solutions to people's problems, but chose to remain ignorant about the issues]).

~Allama Mohammad Iqbal


*Correction: In the first misra of the last sher in the Urdu version, it should read: 'Her dardmand dil ko rona mera rula de'

Saturday, December 6, 2008

Chalo Tum Ko Bataatay Hain

Chalo tum ko bataatay hain
Keh tum ko dekh ker dil ne
Kaha tum rishta-e-jaa.n se bhi barh kar ho
Dua ki sarhadon pe
Jo adhoori hai, meri aisi tamanna ho
Meray dil ka muqaddar ho
Keh tum aik raushni ban ker, shifa le ker
Kabhi dast-e-maseeha ki tarah
Utray huay, her zakhm-e-dil per ho
Saraay-e-deher mein, andesha-e-zindegaani mein
Tum he dil ka sahaara ho
Jo rooh ke aasmaa.n pe jagmagaya hai muhabbat se
Suhaani shaam ki chaahaton ka pehla taara ho
Wafa ka isti'aara ho
Tumhaaray qurb ki khushbu se patthar ki tarah hum ne
Sulagti dhoop mein phelaao paaya hai
Tumhaaray piyaar ke rangee.n kanval thandi hava se
Sarsaraatay hain
Hum saavan mein bheegay peron ko chu lain to
Tumhaaray lams ki khushbu ke lamhay jagmagaatay hain
Chalo tum ko bataatay hain
Keh hum ne zindagi ke sab varq le ker
Sab he satron mein likh li hai
Tamanna tum ko paanay ki
Zamaanay bhar mein shaayed kaatib-e-taqdeer ke haathon
Meray dil ne likh li hai, tumhaari chah ka khahish
Tumhaari aarzuon ka jo ik idraak hai mujh mein
Kisi mein ho nahin sakta
Tumhaari muskurahat ka, ik armaan hai mujh mein
Kisi mein ho nahin sakta
Chalo tum ko bataatay hain
Chalo tum ko bataatay hain

~Unknown

adhoori = incomplete
shifa = cure, remedy
dast-e-maseeha = touch of a healer
saraay-e-deher = rest stop in the middle of nowhere
andesha-e-zindegaani = doubts of/in life
isti'aara = sign
sulagti = burning
phelaao = spread (noun; referring to shade here though)
sarsaraatay = whistling (due to wind - the air of love!)
lams = touch
varq = sheet (like that of paper, steel; something you can write on)
satron = lines (like that on papers... and then you write on them... those lines)
kaatib = writer
idraak = manifestation, knowledge, awareness


(Let me tell you
that upon seeing you
the heart declared you to be more worthy than life.
Like an unfulfilled desire, stuck at the boundary of acceptance and non-acceptance...
you're that desire for me (since I'm doubtful if I'll ever have you).
But you're my heart's destiny..
you descended like light, bringing cure for this broken heart, healed my wounds,
you bring stability in the midst of doubts and uncertainties.
You're the first star on the dark sky of my soul.. (you bring hope).
When you're near me, I feel like I've found shade in penetrating heat,
that your love has blossomed flowers (shade (coolness) and flowers symbolizing spring --> season of love)
When I touch rained trees, they remind me of you...
I've taken all pages of life, and on each line I've written the desire to have you.
My heart is destined to wish for you - it's its fate
I know how much I want you, and no one else can ever want you as much.
I know how much I want to see you smile, and no one can ever wish for it that much.
so let me tell you, so let me tell you).

Thursday, November 27, 2008

Ash'aar

Aik muddat se miri maa.n nahin soyee Taabish
Main ne ik baar kaha tha, mujhay darr lagta hai
----------

Dasht-e-junoo.n mein un ko pukaara kahaan kahaan
Aye dost teray saath, jo lamhay guzar gaye
----------

Yeh bhi theek hai vo chala gaya mujhay band raastay pe chor ke
Vo juda bhi kesay hua keh main koi rasm bhi na nibha saka
Na main paas us ko bula saka na main dil ki baat suna saka
Vo hansi hansi mein he chal diya keh main haath tak na hila saka
----------

Umr kitni manzilain tay kar chuki
Dil jahaan thehra tha thehra reh gaya
----------

Meri kashti ko kinara kiyoonker milta
Is ke patvaar khoye huay muddat guzar gayee
Vo jo zaamin tha mujhay manzil tak le jaanay ka
Us rehber ko soye huay muddat guzar gayee
----------

Unhi raaston ne jin pe kabhi tum thay saath meray
Mujhay rok rok poocha, tera hamsafar kahaan hai
----------

Yaad kar ke aur bhi takleef hoti thee Adeem
Bhool jaanay ke siva ab koi bhi chaara na tha
----------

Hum bhool sakay hain na tujhay bhool sakain ge
Tu yaad rahay ga hamain haan yaad rahay ga
----------

Tujhay bhool jaanay ki koshishain kabhi kaamiyaab na ho sakeen
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai, jo hava chali to lachak gayee
----------

Aankh mein aansu jaray thay per sada tujh ko na dee
Is tavaqqo per ke shayed tu palat ke dekhta
----------

Saturday, November 15, 2008

Meray Humdum Meray Dost

meri humdum, meri dost, Sabeen ke liye...

Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Meray humdum, meray dost
Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Keh teray dil ki thakan
Teri aankhon ki udaasi, teray seenay ki jalan
Meri diljoyee, meray piyaar se mit jaaye gee
Gar mera harf-e-tasalli
Vo dava ho, jis se
Jee uthay phir tera ujra hua be noor dimaagh
Teri peshaani se dhul jaayen ye tazleel ke daagh
Teri beemaar javaani ko shifa mil jaaye..

Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Meray humdum, meray dost
Roz-o-shab, shaam-o-seher
Main tujhay behlaata rahoon
Main tujhay geet sunaata rahoon
Halkay, sheeree.n..
Aabshaaron ke, bahaaron ke, chaman zaaron ke geet,
Aamad-e-subh ke, mehtaab ke, saiyyaaron ke geet,
Tujh se main husn-o-mohabbat ki hikaayaat kahoon,
Kesay maghroor haseenaaon ke barfaab se jism
Garm haathon ki haraarat mein pighal jaatay hain
Kesay aik chehray ke thehray huay maanoos nuqoosh
Dekhtay dekhtay yaklakht badal jaatay hain
Kis tarah aariz-e-mehboob ka shaffaaf biloar
Yak-bayak baada-e-ehmar se dehek jaata hai
Kesay gul-chee.n ke liye jhukti hai khud shaakh-e-gulaab
Kis tarah raat ka aivaan mehek jaata hai

Yoonhi gaata rahoon, gaata rahoon teri khaatir
Geet bunta rahoon, betha rahoon teri khaatir
Per meray geet teray dukh ka madaava he nahin
Naghma jarra nahin, moonis-o-ghamkhaar sahi
Geet nishtar to nahin, marham-e-aazaar sahi
Teray aazaar ka chaara nahin, nishtar ke siva
Aur yeh saffaak maseeha meray qabzay mein nahin
Is jahaa.n ke kisi zee-rooh ke qabzay mein nahin
Haan magar teray siva, teray siva, teray siva

~Faiz Ahmed Faiz

Peshaani = forehead
Tazleel = insult, embarassment
Chaman zaaron = gardens
Mehtaab = moon
Saiyyara = planet (plural = saiyyaaron)
Hikayat = wisdom (plural = hikaayaat)
Barfaab = ice-cold water
Haraarat = heat, temperature
Maanoos = familiar
Nuqoosh = plural of naqsh = mark
Yaklakht = all of a sudden
Aariz = cheek
Shaffaaf = crystal clear
Biloar = glass (meaning very pure, very clear)
Yak-bayak = all of a sudden
Baada-e-ehmer = red wine
Dehek = ignition (from 'ignite')
Gul chee.n = a prince from the 'Gul bakaaoli' series; he was so beautiful that even roses would bend down in his way... to be noticed by him
Aivaan = big wide castle, large area/space
Bunta = to synthesize
Madaava = compensation
Jarra = a surgical instrument
Moonis = someone who cares (root word = uns)
Aazaar = sorrows
Nishtar = sharp surgical object; regarded as a healing tool, though it's painful
Saffaak = cruel
Zee-rooh = he who has a soul --> all humans


(My dearest friend, if I could take away your pain, if I could somehow reduce your sorrows, I'd do anything to that end..... but I won't succeed. The solution to your sadness is in your hands, and only you can help yourself)

Thursday, November 13, 2008

Uljhan

Mujhay khauf hai
Woh nibaah ke kisi marhalay pe,
Yeh aa ke keh de keh ab nahin...
Meray dil ko teri talab nahin...

nibaah = ongoing unsaid binding agreement that carries relationships forward
marhala = any significant point or stage in the course of relationships
talab = desire


~Noshi Gilani

Tuesday, November 11, 2008

Maa.n

Aaj ik aur baras beet geya us ke bagher
Jis ke hotay huay hotay thay zamaanay meray

Tuesday, November 4, 2008

Khaahish-e-NaTamaam

Is se pehlay keh
Dasht-e-imkaa.n mein
Vasl-e-jaa.n ki arzoo na rahay
Is se pehlay keh baar-e-gham se kaheen
Tujh ko paanay ki justuju na rahay
Is se pehlay keh dasht-e-khaahish mein
Farsh-e-afsurdgi bichay sar-e-raah
Laut aao keh muntazir hai nigaah
Is se pehlay keh lauh-e-qismat per
Baab-e-ulfat tamaam ho jaaye
Is se pehlay keh shaam ho jaaye

*dasht-e-imkaa.n = desert of possibilities
*vasl = milan, milaap
*baar = weight; bojh
*justuju = talaash; trying to achieve/get something
*dasht-e-khaahish = desert of wishes/desires
*farsh-e-afsurdgi = udaasi ka bichona; land of sadness
*sar-e-rah = in the beginning of a pathway
*muntazir = waiting
*lauh = tablet; dis cheez pe taqdeer likhi jaati hai (by God)
*baab-e-ulfat = door of love


(Lest my barren land of hopes gives up your desire..
before the burden of my sadness renders me incapable of wishing [you],
before my life becomes a picture of sorrow.....
come back
my eyes are searching for you,
come back before time runs out for my fate to be written
and love closes its door upon me,
come back before the sun sets [and it gets too late])


~Unknown

Friday, October 31, 2008

Justuju Khoye Huon Ki Umr Bhar Kartay Rahay

Justuju khoye huon ki umr bhar kartay rahay
Chaand ke hamraah hum her shab safar kartay rahay
justuju = effort to achieve

(Poet is saying that she kept trying to get those people she had lost, all her life. In doing so, she continued to travel with the moon all night long. It's a known fact that the moon travels around the globe)

Raaston ka ilm tha hum ko na simton ki khabar
Sheher-e-namaaloom ki chaahat magar kartay rahay
simt = direction (i.e. north, south, east, west)

(She didn't know which way to go, or which direction to walk in, to get an unknown place where her heart wanted to be)

Hum ne khud se bhi chupaya aur saaray sheher se
Teray jaanay ki khabar deevaar-o-darr kartay rahay
darr = door; darvaza

(She tried to hide the fact that someone close to her had departed, but the city realized the absence of one of its inhabitants -- meaning the fact couldn't be hidden for long)

Vo na aaye ga hamain maaloom tha us shaam bhi
Intezaar us ka magar kuch soch ker kartay rahay

(She knew he wouldn't come that day either, but something kept her waiting for him anyway)

Aaj aaya hai hamain bhi un uraanon ka kheyaal
Jin ko teray zom mein be-baal-o-par kartay rahay
uraan = parvaaz; high flight
zom = maan; trust and pride in someone (usually a beloved)
be-baal-o-par = without wings and the proper required equipment required for flying (metaphor for birds)


(She's now recalling the highs she felt when she was with her beloved. The time when she was able to fly to cloud nine just because she was with someone who made her touch the skies.. -- love is a strong feeling!)

~Parveen Shakir

Friday, October 24, 2008

Na Shikayatain Na Gila Karay

Na shikayatain na gila karay
Koi aisa shakhs hua karay
Jo meray liye he saja karay
Mujh he se baatain kiya karay

Kabhi roye jaaye vo bepanaah
Kabhi betahasha udaas ho
Kabhi chupke chupke dabay qadam
Meray peechay aa ker hansa karay

Meri qurbatain meri chahatain
Koi yaad rakkhay qadam qadam
Main taveel safar mein hoon agar
Meri vaapsi ki dua karay

~Amjad Islam Amjad

Saturday, October 18, 2008

Hum Log

Hum log
Daairon mein chaltay hain
Daairon mein chalnay se
Daairay to barhtay hain
Faaslay nahin ghat.tay
Aarzuain chalti hain
Jis taraf ko jaatay hain
Manzilain tamanna ki
Saath saath chalti hain
Gard urti rehti hai
Dard barhta rehta hai
Raastay nahin ghat.tay
Subah-dam* sitaaron ki tez jhilmilaahat ko
Raushni ki aamad ka pesh-baab* kehtay hain
Ik kiran jo milti hai, aaftaab* kehtay hain
Daaira badalnay ko inqilaab* kehtay hain

*Subah-dam = dawn; early morning
*Pesh-baab = preface (as in a book); something to hint or suggest what's about to come; foreshadower

*Aaftaab = sun
*Inqilaab = revolution ; complete change in the dynamics of something


(We (humans/people) have our set ways of doing things. We simply follow them and hope that somehow our problems will get resolved, our wishes will get fulfilled, but don't take any step towards these goals. Because we follow just one pattern, we keep going in circles, and keep increasing our journey towards unfulfilled desires (since there's no end point, the distance to travel is infinitely long). And then the smallest thing that happens out of the ordinary, we start to take that as a sign of positive change. For us, the biggest revolution is simply the change of direction (implying that's how ignorant we are when it comes to working towards something better). We don't even know how to take a positive step forward)

~Amjad Islam Amjad

Saturday, October 11, 2008

Zahid ne - Abida Parveen (Raqs-e-bismil)

Us ka mukh ik jot hai ghoonghat hai sansaar
Ghoonghat mein vo chup gaya mukh per aanchal daar(daal)

(This might be pushing it, but this is my exegesis of the couplet. Her face is like light (guiding light) and the ghoonghat is the world -- symbolizing life and the struggle to find a place in the world. She hid herself in her veil and covered her face. Meaning the guiding light is lost/hidden in the world, and it's up to the lover to find it. How else will he reach his destination?!)

Zaahid ne mera hausla-e-eimaa.n nahin dekha
Rukh per teri zulfon ko pareeshaa.n nahin dekha

(The pious has not seen the strength of my faith, since he was not the one who saw your hair spread on your face. Implying if he saw what I saw, he would've lost all control. I didn't lose my control, hence proving the strength of my faith)

Her haal mein bus pesh-e-nazar hai vohi soorat
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijraa.n nahin dekha

(I can never experience a night without my beloved, because his/her face is always in my thoughts)

Aaye thay sabhi tarah ke jalvay meray aagay
Main ne magar aye deeda-e-hairaa.n nahin dekha

(There have been many wonderful sights that have come before my eyes, but I didn't see any of them. Implying my thoughts are fixated on a single face -- that of my beloved)

Kiya kiya hua hangaam-e-junoo.n yeh nahin maaloom
Kuch hosh jo aaya to gareebaa.n nahin dekha

(I don't know what chaos has taken place here. All I know is, when I came to my senses, my collar was torn. Implying I was so deep into my thoughts about my beloved that I didn't even realize when or how my collar got ripped)

~Asghar Gondvi

Friday, September 26, 2008

Musalsal Rokti Hoon

Musalsal rokti hoon us ko shehr-e-dil mein aanay se
Magar vo kohkan rukta nahin deevaar dhaanay se
kohkan = mountaineer, dhaana = to destroy

(I always try to stop him from entering my heart. I keep on building high barriers but he keeps on destroying them, implying he always finds a way to get to my heart)

Bhala kiya dukh ke aangan mein sulagti larkiyaan jaanain
Kaheen chuptay hain aansu aanchalon mein chupaanay se

(These innocent girls don't realize that tears can't be hidden, no matter how much you try to wipe them off with your 'aanchal')

Abhi to fasl taaza hai hamaaray harf-o-maani ki
Abhi dartay nahin hum mausamon ke aanay jaanay se

(Background: When crops are grown, weather plays a crucial role as to how much fruit will be reaped. But when the crop is at its full bloom, it can withstand the test of seasons.
The sher means that right now, my words are fresh, I've recently uttered them. I can stand by them because I have all my strength intact to protect them)

Abhi to ishq mein aankhain bujhi hain dil salaamat hai
Zameenain baanjh hoti hain kabhi faslain jalaanay se
Baanjh = barren; unable to produce

(Background: When farmers need to start growing a new crop but have limited land resources, they empty another field by burning that fruit's plants. But sometimes in doing so, the topsoil gets damaged and the land becomes barren.
The sher means that right now, although love has lit its fire inside of me, it hasn't damaged me. The only loss I've suffered is that I've cried too much. But I still have my spirit safe. This fire could've destroyed everything, just like when they burn crops, thay permanently damage the land and then nothing good can ever come out of it)

Mujhay tanha muhabbat ka yeh dariya paar karna hai
Nadaamat ho gee us ke hoslon ko aazmaanay se

(I have to find my own destiny in the journey of love. If I ask my 'mehboob' to join me, he'd refuse and I'd be ashamed of falling in love with a coward)

Humain kis zarf ke kirdaar kay qissay sunaata hai
Tujhay aye sheher hum bhi jaantay hain ik zamaanay se
zarf = capacity (to do good deeds, to be good), kirdaar = character

(Don't lecture me about the goodness of the inhabitants of this city. I've known them for quite some time. I have judged them and I know they're not as righteous as you're making them out to be)

Tujhay bhi zabt-e-gham ke shauq ne patthar bana daala
Tujhay aye dil bohat roka tha rasm-o-raah nibhaanay se
zabt = self control, rasm-o-raah = societal norms

(This is where the true psychologist in me shines out!
The poet is talking to herself here. She's angry at herself for fulfilling certain norms/responsibilities of relationships: friendship, love, being human, etc. When we try to repress out emotions and keep things bottled up, a stage comes where we feel numb. We almost become unable to feel anything at that point, hence the word 'patthar' (stone) is used as a metaphor - devoid of all emotions and sentiments. The head told the heart not to become too involved but her heart chose a different path than her head, rendering her incapable of feelings now. She got hurt very badly)

~Noshi Gilani

Wednesday, September 10, 2008

Yeh Jo Raig-e-Dasht-e-Firaaq Hai

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar
Yeh rukay agar to nishaa.n milay, yeh nishaa.n milay
Keh jo faaslon ki saleeb hai
Ye gari hui hai kahaan kahaan
Mere aasmaa.n se kidhar gayee tere iltefaat ki kehkashaan
Mere bekhabar, mere benishaa.n
Ye rukay agar to pata chalay
Main tha kis nagar, tu raha kahaan
Keh zaman-o-makaa.n ki vus'atain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Vo meray naseeb ki barishain
Kisi aur chatt pe baras gayeen
Meray chaar soo hai vo gubhaar-e-jaa.n, vo fishaar-e-jaa.n
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Mere khaab se teray baam tak
Teri rehguzar ka to zikr kia
Nahin zaufishaan tera naam tak
Hain dhuaan dhuaan meray usthakhvan
Meray aansuon mein bujhay huay meray ustakhvan
Meray naqsha gar, meray naqsha jaa.n

Isi raig-e-dasht-e-firaaq mein rahay muntazir teray muntazir
Meray khaab jin ke fishaar mein
Rahi meray haal se bekhabar
Teri rehguzar
Teri rehguzar ke jo naqsh hai meray haath per
Magar is bala ki hai teergi
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Vo jo chashm-e-sho’bida saaz thi vo uthay agar
Mere ustakhvan mein ho raushni
Usi aik lamha-e-deed mein teri rehguzar
Meri teera jaa.n mein chamak uthay
Meray khaab say tere baam tak
Sabhi manzaron mein damak uthay
Usi aik pal mein ho jaavidaa.n
Meri arzoo ke hai be-karaa.n
Meri zindagi ke hai mukhtasar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar

~Amjad Islam Amjad

Tuesday, September 2, 2008

Dasht-e-Hijraa.n Mein Na Saaya Na Sada

Dasht-e-hijraa.n mein na saaya na sada teray baad
Kitnay tanha hain teray aabla-pa teray baad

Koi peghaam na dildaar-e-nava teray baad
Khaak uraati hui guzri hai saba teray baad

Lab pe ik harf-e-talab tha na raha teray baad
Dil mein taaseer ki khahish na dua teray baad

Aks-o-aaina mein ab rabt ho kiya teray baad
Hum to phirtay hain khud apnay se khafa teray baad

Dhoop aariz ki na zulfon ki ghata teray baad
Hijr ki rut hai keh habs ki fiza teray baad

Liye phirti hai sar-e-koo-e-jafa teray baad
Parcham-e-tar garebaa.n ko hava teray baad

Perahan apna na salamat na qaba teray baad
Bus vahi hum hain vahi sehra ki rida teray baad

Nikhat-o-ney hai na dast-e-qaza teray baad
Shaakh-e-jaa.n per koi ghuncha na khila teray baad

Dil na mehtaab se ujla na jala teray baad
Aik jugnu tha chup chaap bujha teray baad

Dard seenay mein hua nauha-sara teray baad
Dil ki dharkan hai ke maatam ki sada teray baad

Kaun se rango.n ke bhanvar kesi hina teray baad
Apna khoon meri hatheli pe saja teray baad

Tujh se bichra to murjha ke hava-burd hua
Kaun deta mujhay khilnay ki dua teray baad

Aik hum hain ke be barg-o-nava teray baad
Varna aabaad hai sab khalq-e-Khuda teray baad

Aik qayaamat ki kharaashain meray chehray pe sajeen
Aik mehshar meray andar se utha teray baad

Aye falak-e-naaz meri khaak nishaani teri
Main ne matti pe tera naam likha teray baad

Tu ke simta to rag-e-jaa.n ki hadon mein simta
Main ke bikhra to sameta na gaya teray baad

Ye alag baat hai ke afshaa.n na hua tu varna
Main ne kitna tujhay mehsoos kiya teray baad

Milnay vaalay kayee mafhoom pehen ker aaye
Koi chehra bhi na aankhon ne parha teray baad

Bujhay jaatay hain khad-o-khaal manaazir afaq
Phelta jaata hai khaahish ka khala teray baad

Meri dukhti hui aankhon se gavaahi lena
Main ne socha tujhay apnay se siva teray baad

Seh liya dil ne teray baad malaamat ka azaab
Varna chubhti hai rag-e-jaa.n mein hava teray baad

Jaan-e-Mohsin mera haasil yehi mubham satrain
Sher kehnay ka hunar bhool gaya teray baad

~Mohsin Naqvi

Thursday, August 21, 2008

Hum Vo Bedard Hain

Hum vo bedard hain
Khaab ganva ker bhi jinhain neend aa jaati hai
Soch soch kar bhi jin ke zehnon ko kuch nahin hota
Toot phoot ker bhi jin ke dil dharakna yaad rakhtay hain
Hum vo bedard hain
Keh jin ke aansu
Aankhon ka rasta bhool jaatay hain
Toot ker ronay ki koshish main jo
Baat bebaat muskuraatay hain
Shaam se pehlay mar jaanay ki khaahish main jo
Jeetay hain aur
Jeetay he chalay jaatay hain

~Unknown

Sunday, August 17, 2008

Na Ganvaao Naavak-e-Neem Kash

Na ganvaao naavak-e-neem kash, dil-e-reza reza ganva diya
Jo bachay hain sang samet lo, tan-e-daagh daagh luta diya

Meray chaaragar ko naveed ho, saf-e-dushmanaa.n ko khabar karo
Vo jo qarz rakhtay thay jaan per, vo hisaab aaj chuka diya

Karo kaj jabee.n per sar-e-kafan, meray qaatilon ko gumaa.n na ho
Keh ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya

Udher aik harf ki kushtani, idher laakh uzr thay guftani
Jo kaha to sun ke ura diya, jo likha to parh ke mita diya

Jo rukay to koh-e-giraan thay hum jo chalay to jaa.n se guzar gaye
Rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhay yaadgaar bana diya

~Faiz Ahmed Faiz

Sunday, August 10, 2008

Din Raat Barasta Ho Jo Baadal Nahin Dekha

Din raat barasta ho jo baadal nahin dekha
Aankhon ki tarah koi bhi baadal nahin dekha

Kiyoon log yahaan detay hain rishton ki duhaayee
Is paer se hum ne to kabhi phal nahin dekha
Paer = darakht = tree

Insaan darindon ki tarah ghoom rahay hain
Shehron ki tarha koi bhi jungle nahin dekha

Tum ne meri aankhon ke qaseeday to likkhay hain
Lekin mera behta hua kaajal nahin dekha

Us ne bhi kabhi neend se rishta nahin rakkha
Main ne bhi koi khaab mukammal nahin dekha

~Anjum Rehber

Saturday, August 2, 2008

Main Bhi Hoon

Main bhi hoon matti ka putla
Main bhi ik dil rakhta hoon
Vo dil jo chaaha karta hai
Vo dil jo chaahay jaanay ki
Maasoom si khaahish rakhta hai
Vo dil jo kuch kuch paagal hai
Gheron ke dukh per kurhta hai
Apnon ke nishtar sehta hai
Aur phir bhi dharakta rehta hai
Jab aksar aisa hota hai
Dil bhi koi khaahish karta hai
Is khaahish main aur hasrat main
Koi deevaar nahin hoti
Aur lamha bhar main vo khahish
Hasrat main badal bhi jaati hai
Dil phir bhi dharakta rehta hai
Ab to mujh ko yeh lagta hai
Mera dil matti main reh ker
Khud mitti hota jaata hai
Aur ik din aisa aaye ga
Hasrat ki chataanon ke neechay
Dil ik din kuchla jaaye ga
Kiya us din koi roye ga
Marqad per meray aaye ga

~Sky Bolt

Monday, July 28, 2008

Main Ne Is Taur Se Chaaha Tujhay Aksar Jaanaan

Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan

Jesay mehtaab ko be-ant samandar chaahay
Jesay sooraj ki kiran seep ke dil main utray
Jesay khushbu ko hava rang se hut ker chaahay
Jesay ghunchay khilay mausam se hina maangtay hain
Jesay khaabon main kheyaalon ki kamaa.n toot.ti hai
Jesay baarish ki dua aabla-pa maangtay hain

Mera her khaab meray such ki gavaahi de ga
Vus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh saraapa apna
Main ne duniya se alag teri parastish ki hai

Khahish e deed ka mosam kabhi dhundla jo hua
Noch dali hain zamano'n ki naqabain main nay
Teri palkon pe utarti hui subho'n kay liay
Torr dali hain sitaaro ki tanabain main nay

Main nay chaha k teray husn ki gulnar fiza
Meri ghazlon ki qataron se dehekti jaay
Main nay chaha k meray dil kay gulista'n ki bahar
Teri ankhon k gulabo'n se mehekti jaay

Tay to yeh tha k sajata rahay lafzon k kanwal
Meray khamosh khayalon main takallum tera
Raqs karta rahay, phirta rahay khushbu ka khumar
Meri khwahish k jazeeron main tabassum tera

Tu magar ajnabi mahol ki parwar-deh kiran
Meri bujhti hui raaton ko sahar kar na saki
Teri sanso'n main masihaai thi laikin tu bhi
Chara e zakhm e gham e deeda e tar kar na saki

Tujh ko ehsas hi kab hay k kisi dard ka daagh
Aankh say dil main utar jaay to kia hota hay
Tu k seemab tabeat hay tujhay kia maloom
Mausam e hijr theher jaay to kia hota hay

Tu nay us morr pay torra hay taaluq k jahan
Dekh sakta nahi koi bhi palat kar janaa'n
Ab ye aalam hay k ankhain jo khulain gi apni
Yaad aay ga teri deed ka manzar janaa'n

Mujh se mangay ga teray ehd e mohabbat ka hisab
Teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaa'n
Yoon meray dil k barabar tera gham aya hay
Jaisay sheeshay k muqabal koi pathar janaa'n

Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan

~Mohsin Naqvi

Wednesday, July 23, 2008

Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai

Yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kiya kitaab hai
Kaheen ik haseen sa khaab hai kaheen jaan leva azaab hai

Kaheen aansu'on ki hai daastaa.n kaheen muskurahaton ka hai bayaa.n
Kayee chehray is main chupay huay ik ajeeb si yeh niqaab hai

Kaheen kho diya kaheen pa liye kaheen ro liya kaheen ga liya
Kaheen cheen leti hai her khushi kaheen mehrbaa.n behisaab hai

Kaheen chaaon hai kaheen dhoop hai kaheen aur he koi roop hai
Kaheen barkaton ki hain baarishain kaheen tishnagi behisaab hai

~Ramish Ropri

Tuesday, July 8, 2008

Jalwa Baqadr-e-Zarf-e-Nazar Dekhtay Rahay

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhtay rahay
Kiya dekhtay hum un ko magar dekhtay rahay

Apna he aks pesh-e-nazar dekhtay rahay
Aaina rubaru tha jidhar dekhtay rahay

Un ki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Naqsh-o-nigaar-e-parda-e-darr dekhtay rahay

Aisi bhi kuch firaaq ki raatain guzar gayeen
Jesay unhi ko pesh-e-nazar dekhtay rahay

Her lehza shaan-e-husn badalti rahi Jigar
Her aan hum jahaan-e-jigar dekhtay rahay

~Jigar Muradabadi

http://www.naat.co.uk/details.php?file=1054701
~Jigar's kalaam in Abida Parveen's soulful voice. I feel you owe yourself to listen to it.

Sunday, July 6, 2008

Phir Aaina-e-Aalam Shayed Keh Nikhar Jaaye

Phir aaina-e-aalam shayed keh nikhar jaaye
Phir apni nazar shaayed taa hadd-e-nazar jaaye

Sehra pe lagay pehray aur qufl paray ban per
Ab sheher badar ho kar deevaana kidhar jaaye

Khaak-e-rah-e-jaanaa.n pe kuch khoo.n tha gira apna
Is fasl main mumkin hai yeh qarz utar jaaye

Dekh aayen chalo hum bhi jis bazm main suntay hain
Jo khanda-balb aaye vo khaak-basar jaaye

Ya khauf se darr guzrain ya jaa.n se guzar jaayen
Marna hai keh jeena hai ik baat theher jaaye

~Faiz Ahmed Faiz

Wednesday, June 25, 2008

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain

*Aik aisay shakhs ke liye jis ki main teh-e-dil se izzat karti hoon aur be-panah mamnoon-o-mashkoor hoon

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din theher ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haalon se
So apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o-shaairi se shaghaf
So hum bhi moejezay apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay to baaton se phool jhartay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat usay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu theher ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyaah chashmgi qayaamat hai
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamsaal hai jabee.n us ki
Jo saada dil hain usay ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
Keh phool apni qabaayen katar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
Makee.n udher ke bhi jalvay idher ke dekhtay hain

Rukay to gardishain us ka tavvaaf karti hain
Chalay to us ko zamaanay theher ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaakulain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaaj aur he laal-o-gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa.n main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhtay hain

Vo sarvqad hai magar be-gul-e-muraad nahin
Keh us shajar pe shagoofay samar ke dekhtay hain

Bus ik nigaah se loota hai qaafla dil ka
So raah ravaan-e-tamanna bhi darr ke dekhtay hain

Kahaaniyaan he sahi sab mubaalghay he sahi
Agar vo khaab hai tabeer kar ke dekhtay hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jaayen
Faraaz aao sitaaray safar ke dekhtay hain

~Ahmed Faraz

Monday, June 16, 2008

Tiray Karam Ne Mujhay Kar Liya Qubool Magar

Tiray karam ne mujhay kar liya qubool magar
Miray junoo.n se muhabbat ka haq ada na hua

Tiray ghamon ne miray her nishaat ko samjha
Mira nishaat tiray gham se aashna na hua

Kahaan kahaan na miray paaoon larkharaaye magar
Tira sabaat ajab tha keh haadsa na hua

Tira karam ghata bhi to bepanaah raha
Mira sulook barha bhi to munsifaana raha

Tiray dukhon ne pukaara to main qareeb na tha
Miray ghamon ne sada dee to faasla na hua

~Mustafa Zaidi

Thursday, June 5, 2008

Haan Yeh Haqeeqat Hai

Haan yeh haqeeqat hai
Aaj main akeli hoon
Raastay he aisay hain
Faaslay he itnay hain
Keh kabhi main sochoon to
Toot toot jaati hoon
Raastay bulaatay hain
Main he rooth jaati hoon
Raaston main chalnay ka
Hausla nahin hota
Hausla bhi kesay ho
Jab bhi chalnay lagti hoon
Hamsafar nahin hota
Hamsafar bhi kesay ho
Raastay he aisay hain
Faaslay he itnay hain
Keh safar nahin hota
Saath chor detay hain
Jitna bhi bharosa ho
Log tor detay hain
Haan yeh haqeeqat hai
Aaj main akeli hoon
Lekin aik bharosa hai
Aur ik yaqee.n sa hai
Jis ko saath chalna hai
Vo abhi nahin aaya
Vo he mujh ko thaamay ga
Aur yaqee.n dilaaye ga
Hamsafar na hotay to
Raastay nahin hotay
Faaslay nahin hotay
Ye jo ik yaqee.n sa hai
Bus yehi ghaneemat hai

~Unknown

Friday, May 23, 2008

Kis Se Koi Gilay Karay Apnay

Kis se koi gilay karay apnay
Qurbatain apni faaslay apnay

Gardishon main hai daur-e-jaam un ka
Toot.tay he nahin nashay apnay

Her qadam gumrahi ka khadsha hai
Itnay seedhay hain raastay apnay

Kiya karain aye nishaat-e-sang_zani
Chehray apnay hain aainay apnay

Paaoon ke aablay yeh poochtay hain
Kis musaafat main din katay apnay

Is ibaadat ko kaun samjhay ga
Kis ne dekhay hain ratjagay apnay

Khud he Farigh sajaaye vo maqtal
Kut rahay hain jahaan galay apnay

~Farigh Bukhari

Tuesday, May 13, 2008

Chehray Pe Meray Zulf Ko Phailaao Kisi Din

Chehray pe meray zulf ko phailaao kisi din
Kiya roz garajtay ho baras jaao kisi din

Raazon ki tarah utro meray dil main kisi shab
Dastak pe meray haath ki khul jaao kisi din

Peron ki tarah husn ki baarish main naha loon
Baadal ki tarah jhoom ke ghar aao kisi din
peron = darakhton = trees

Khushbu ki tarah guzro meray dil ki gali se
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko kheraat milay band-e-qaba ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisi din

Guzrain jo meray ghar se to ruk jaayen sitaaray
Is tarah meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni her ek saans usi raat ko de doon
Sar rakh ke meray seenay pe so jaao kisi din

~Amjad Islam Amjad

Friday, May 2, 2008

Aye Door Nagar Ke Banjaaray

Aye door nagar ke banjaaray gar chor ke aisay jaana tha
Kiyoon chah ki raah dikhaani thee kiyoon piyaar ka haath barhaana tha

Hai duniya ke hangaamon main rangeeni bhi ra'naayee bhi
Her cheez yahaan ki piyaari hai mehroomi bhi rusvaayee bhi
Sab log yahaan per qismat ke be-taur thaperay sehtay hain
Per jeetay hain aur jeenay ki ik aas se chimtay rehtay hain

Aur tu to ik khilaari tha kiyoon khel he se moo.n mor liya
Kiyoon jaan ki baazi haar gaya kiyoon umr ka rishta tor liya

Go jaanay ke mushtaaq yahaan hum jesay laakh bechaaray hon
Vo log he rukhsat hotay hain jo log keh sab ko piyaaray hon
Is jug ki raat andheri main ik taara tha vo doob gaya
Aur vaaday saath nibhaanay ke sab bhool bhula ker khoob gaya

Aa mehfil chup chaap bethi hai aa mehfil ka jee shaad karain
Vo log jo teray aashiq hain kayee roz se tujh ko yaad karain
Vo tthor thikaanay dhoond aaye vo manzil manzil chu aaye
Ab aas lagaaye bethay hain kab dastak ho kab tu aaye

~Ibn Insha

Tuesday, April 15, 2008

Hamaray Darmiyaa.n

Hamaaray darmiyaa.n koi aisa rishta nahin tha
Teray shaanon pe koi chat nahin thee
Meray zimmay koi aangan nahin tha
Koi vaada teri zanjeer-e-paa bannay nahin paaya
Kisi iqraar ne meri kalaayee ko nahin thaama
Havaa-e-dasht ki maanind
Tu aazaad tha
Raastay teri marzi ke taabe' thay
Mujhay bhi apni tanhaayee pe
Dekha jaaye to
Poora tasarruf tha
Magar aaj jab tu ne
Raasta badla
To kuch aisa laga mujh ko
Keh jesay tu ne mujh se bevafaayee ki

~Parveen Shakir

Tuesday, April 8, 2008

Chota Sa Ik Gaaon Tha Jis Main

Chota sa ik gaaon tha jis main
Diye thay kam aur bohot andhera
Bohot shajar thay thoray ghar thay
Jin ko tha doori ne ghera
Itni bari tanhaayee thee jis main
Jaagta rehta tha dil mera
Bohot qadeem firaaq tha jis main
Aik muqarrar hadd se aagay
Soch na sakta tha dil mera
Aisi soorat main phir dil ko
Dheyaan aata kisi khaab main tera
Raaz jo hadd se bahar main tha
Apna aap dikhaata kesay
Sapnay ki bi hadd thee aakhir
Sapna aagay jaata kesay

~Amjad Islam Amjad

Monday, March 31, 2008

Kat He Gayee Judaayee Bhi

Kat he gayee judaayee bhi kab yoon hua keh marr gaye
Teray bhi din guzar gaye meray bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Jaanay vo tu kidhar gaya jaanay vo hum kidher gaye

Raahon main he milay thay hum raahain naseeb ban gayeen
Tu bhi na apnay ghar gaya hum bhi na apnay ghar gaye

Vo bhi ghubaar-e-khaak tha hum bhi ghubaar-e-khaak thay
Vo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye

Koi kinaar-e-aab-e-ju betha hua hai sar-nigoon
Kashti kidhar chali gayee jaanay kidhar bhanvar gaye

Teray liye chalay thay hum teray liye theher gaye
Tu ne kaha to jee uthay, tu ne kaha to marr gaye

Vaqt he kuch judaayee ka itna taveel ho gaya
Dil main teray firaaq ke jitnay thay zakhm bhar gaye

Baarish-e-vasl vo hui saara ghubaar dhul gaya
Vo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye

Itnay qareeb ho gaye itnay raqeeb ho gaye
Vo bhi Adeem darr gaya hum bhi Adeem darr gaye

~Adeem Hashmi

Friday, February 15, 2008

Kabhi Kabhi Koi Yaad

Kabhi kabhi koi yaad
Koi bohot puraani yaad
Dil ke darvaazay per
Aisay dastak deti hai
Shaam ko jesay taara niklay
Subha ko jesay phool
Jesay dheeray dheeray zameen per
Raushniyon ka nuzool
Jesay rooh ki piyaas bujhaanay
Utray koi rasool
Jesay rotay rotay achaanak
Hans de koi malool
Kabhi kabhi koi yaad
Koi bohot puraani yaad
Dil ke darvaazay per
Aisay dastak deti hai

~Unknown

Monday, January 7, 2008

Is Tarah Milay Ho Tum

Is tarah milay ho tum
Jesay taareek raahon main
Koi diya ho maddham sa
Jis ki raushni main khud ko
Dekh to sakta hoon magar
Ye raushni ka safar
Shaayed mera hamsafar na ho
Shaayed ke tera milna kabhi bhi
Meri zindagi ka muqaddar na ho
So aaj inhi lamhon main
Luta doon jitni chahatain hain
Meray dil ke nihaan khaanon main
Jitni ankahi baatain hain
Phir kal fursat milay ya nahin
Jis tarah saji hai aaj apni mehfil
Phir ye bazm kabhi sajay ya nahin
Kiyoonkeh main jaanta hoon yeh
Meri tamaam khaahishon main ab
Tumhain bhi shaamil hona hai
Aaj paaya hai tumhain muqaddar se
Kal isi tarah tumhain khona hai

~Unknown