Thursday, November 27, 2008

Ash'aar

Aik muddat se miri maa.n nahin soyee Taabish
Main ne ik baar kaha tha, mujhay darr lagta hai
----------

Dasht-e-junoo.n mein un ko pukaara kahaan kahaan
Aye dost teray saath, jo lamhay guzar gaye
----------

Yeh bhi theek hai vo chala gaya mujhay band raastay pe chor ke
Vo juda bhi kesay hua keh main koi rasm bhi na nibha saka
Na main paas us ko bula saka na main dil ki baat suna saka
Vo hansi hansi mein he chal diya keh main haath tak na hila saka
----------

Umr kitni manzilain tay kar chuki
Dil jahaan thehra tha thehra reh gaya
----------

Meri kashti ko kinara kiyoonker milta
Is ke patvaar khoye huay muddat guzar gayee
Vo jo zaamin tha mujhay manzil tak le jaanay ka
Us rehber ko soye huay muddat guzar gayee
----------

Unhi raaston ne jin pe kabhi tum thay saath meray
Mujhay rok rok poocha, tera hamsafar kahaan hai
----------

Yaad kar ke aur bhi takleef hoti thee Adeem
Bhool jaanay ke siva ab koi bhi chaara na tha
----------

Hum bhool sakay hain na tujhay bhool sakain ge
Tu yaad rahay ga hamain haan yaad rahay ga
----------

Tujhay bhool jaanay ki koshishain kabhi kaamiyaab na ho sakeen
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai, jo hava chali to lachak gayee
----------

Aankh mein aansu jaray thay per sada tujh ko na dee
Is tavaqqo per ke shayed tu palat ke dekhta
----------

Saturday, November 15, 2008

Meray Humdum Meray Dost

meri humdum, meri dost, Sabeen ke liye...

Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Meray humdum, meray dost
Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Keh teray dil ki thakan
Teri aankhon ki udaasi, teray seenay ki jalan
Meri diljoyee, meray piyaar se mit jaaye gee
Gar mera harf-e-tasalli
Vo dava ho, jis se
Jee uthay phir tera ujra hua be noor dimaagh
Teri peshaani se dhul jaayen ye tazleel ke daagh
Teri beemaar javaani ko shifa mil jaaye..

Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Meray humdum, meray dost
Roz-o-shab, shaam-o-seher
Main tujhay behlaata rahoon
Main tujhay geet sunaata rahoon
Halkay, sheeree.n..
Aabshaaron ke, bahaaron ke, chaman zaaron ke geet,
Aamad-e-subh ke, mehtaab ke, saiyyaaron ke geet,
Tujh se main husn-o-mohabbat ki hikaayaat kahoon,
Kesay maghroor haseenaaon ke barfaab se jism
Garm haathon ki haraarat mein pighal jaatay hain
Kesay aik chehray ke thehray huay maanoos nuqoosh
Dekhtay dekhtay yaklakht badal jaatay hain
Kis tarah aariz-e-mehboob ka shaffaaf biloar
Yak-bayak baada-e-ehmar se dehek jaata hai
Kesay gul-chee.n ke liye jhukti hai khud shaakh-e-gulaab
Kis tarah raat ka aivaan mehek jaata hai

Yoonhi gaata rahoon, gaata rahoon teri khaatir
Geet bunta rahoon, betha rahoon teri khaatir
Per meray geet teray dukh ka madaava he nahin
Naghma jarra nahin, moonis-o-ghamkhaar sahi
Geet nishtar to nahin, marham-e-aazaar sahi
Teray aazaar ka chaara nahin, nishtar ke siva
Aur yeh saffaak maseeha meray qabzay mein nahin
Is jahaa.n ke kisi zee-rooh ke qabzay mein nahin
Haan magar teray siva, teray siva, teray siva

~Faiz Ahmed Faiz

Peshaani = forehead
Tazleel = insult, embarassment
Chaman zaaron = gardens
Mehtaab = moon
Saiyyara = planet (plural = saiyyaaron)
Hikayat = wisdom (plural = hikaayaat)
Barfaab = ice-cold water
Haraarat = heat, temperature
Maanoos = familiar
Nuqoosh = plural of naqsh = mark
Yaklakht = all of a sudden
Aariz = cheek
Shaffaaf = crystal clear
Biloar = glass (meaning very pure, very clear)
Yak-bayak = all of a sudden
Baada-e-ehmer = red wine
Dehek = ignition (from 'ignite')
Gul chee.n = a prince from the 'Gul bakaaoli' series; he was so beautiful that even roses would bend down in his way... to be noticed by him
Aivaan = big wide castle, large area/space
Bunta = to synthesize
Madaava = compensation
Jarra = a surgical instrument
Moonis = someone who cares (root word = uns)
Aazaar = sorrows
Nishtar = sharp surgical object; regarded as a healing tool, though it's painful
Saffaak = cruel
Zee-rooh = he who has a soul --> all humans


(My dearest friend, if I could take away your pain, if I could somehow reduce your sorrows, I'd do anything to that end..... but I won't succeed. The solution to your sadness is in your hands, and only you can help yourself)

Thursday, November 13, 2008

Uljhan

Mujhay khauf hai
Woh nibaah ke kisi marhalay pe,
Yeh aa ke keh de keh ab nahin...
Meray dil ko teri talab nahin...

nibaah = ongoing unsaid binding agreement that carries relationships forward
marhala = any significant point or stage in the course of relationships
talab = desire


~Noshi Gilani

Tuesday, November 11, 2008

Maa.n

Aaj ik aur baras beet geya us ke bagher
Jis ke hotay huay hotay thay zamaanay meray

Tuesday, November 4, 2008

Khaahish-e-NaTamaam

Is se pehlay keh
Dasht-e-imkaa.n mein
Vasl-e-jaa.n ki arzoo na rahay
Is se pehlay keh baar-e-gham se kaheen
Tujh ko paanay ki justuju na rahay
Is se pehlay keh dasht-e-khaahish mein
Farsh-e-afsurdgi bichay sar-e-raah
Laut aao keh muntazir hai nigaah
Is se pehlay keh lauh-e-qismat per
Baab-e-ulfat tamaam ho jaaye
Is se pehlay keh shaam ho jaaye

*dasht-e-imkaa.n = desert of possibilities
*vasl = milan, milaap
*baar = weight; bojh
*justuju = talaash; trying to achieve/get something
*dasht-e-khaahish = desert of wishes/desires
*farsh-e-afsurdgi = udaasi ka bichona; land of sadness
*sar-e-rah = in the beginning of a pathway
*muntazir = waiting
*lauh = tablet; dis cheez pe taqdeer likhi jaati hai (by God)
*baab-e-ulfat = door of love


(Lest my barren land of hopes gives up your desire..
before the burden of my sadness renders me incapable of wishing [you],
before my life becomes a picture of sorrow.....
come back
my eyes are searching for you,
come back before time runs out for my fate to be written
and love closes its door upon me,
come back before the sun sets [and it gets too late])


~Unknown