Tuesday, April 15, 2008

Hamaray Darmiyaa.n

Hamaaray darmiyaa.n koi aisa rishta nahin tha
Teray shaanon pe koi chat nahin thee
Meray zimmay koi aangan nahin tha
Koi vaada teri zanjeer-e-paa bannay nahin paaya
Kisi iqraar ne meri kalaayee ko nahin thaama
Havaa-e-dasht ki maanind
Tu aazaad tha
Raastay teri marzi ke taabe' thay
Mujhay bhi apni tanhaayee pe
Dekha jaaye to
Poora tasarruf tha
Magar aaj jab tu ne
Raasta badla
To kuch aisa laga mujh ko
Keh jesay tu ne mujh se bevafaayee ki

~Parveen Shakir

Tuesday, April 8, 2008

Chota Sa Ik Gaaon Tha Jis Main

Chota sa ik gaaon tha jis main
Diye thay kam aur bohot andhera
Bohot shajar thay thoray ghar thay
Jin ko tha doori ne ghera
Itni bari tanhaayee thee jis main
Jaagta rehta tha dil mera
Bohot qadeem firaaq tha jis main
Aik muqarrar hadd se aagay
Soch na sakta tha dil mera
Aisi soorat main phir dil ko
Dheyaan aata kisi khaab main tera
Raaz jo hadd se bahar main tha
Apna aap dikhaata kesay
Sapnay ki bi hadd thee aakhir
Sapna aagay jaata kesay

~Amjad Islam Amjad