Friday, May 23, 2008

Kis Se Koi Gilay Karay Apnay

Kis se koi gilay karay apnay
Qurbatain apni faaslay apnay

Gardishon main hai daur-e-jaam un ka
Toot.tay he nahin nashay apnay

Her qadam gumrahi ka khadsha hai
Itnay seedhay hain raastay apnay

Kiya karain aye nishaat-e-sang_zani
Chehray apnay hain aainay apnay

Paaoon ke aablay yeh poochtay hain
Kis musaafat main din katay apnay

Is ibaadat ko kaun samjhay ga
Kis ne dekhay hain ratjagay apnay

Khud he Farigh sajaaye vo maqtal
Kut rahay hain jahaan galay apnay

~Farigh Bukhari

Tuesday, May 13, 2008

Chehray Pe Meray Zulf Ko Phailaao Kisi Din

Chehray pe meray zulf ko phailaao kisi din
Kiya roz garajtay ho baras jaao kisi din

Raazon ki tarah utro meray dil main kisi shab
Dastak pe meray haath ki khul jaao kisi din

Peron ki tarah husn ki baarish main naha loon
Baadal ki tarah jhoom ke ghar aao kisi din
peron = darakhton = trees

Khushbu ki tarah guzro meray dil ki gali se
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko kheraat milay band-e-qaba ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisi din

Guzrain jo meray ghar se to ruk jaayen sitaaray
Is tarah meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni her ek saans usi raat ko de doon
Sar rakh ke meray seenay pe so jaao kisi din

~Amjad Islam Amjad

Friday, May 2, 2008

Aye Door Nagar Ke Banjaaray

Aye door nagar ke banjaaray gar chor ke aisay jaana tha
Kiyoon chah ki raah dikhaani thee kiyoon piyaar ka haath barhaana tha

Hai duniya ke hangaamon main rangeeni bhi ra'naayee bhi
Her cheez yahaan ki piyaari hai mehroomi bhi rusvaayee bhi
Sab log yahaan per qismat ke be-taur thaperay sehtay hain
Per jeetay hain aur jeenay ki ik aas se chimtay rehtay hain

Aur tu to ik khilaari tha kiyoon khel he se moo.n mor liya
Kiyoon jaan ki baazi haar gaya kiyoon umr ka rishta tor liya

Go jaanay ke mushtaaq yahaan hum jesay laakh bechaaray hon
Vo log he rukhsat hotay hain jo log keh sab ko piyaaray hon
Is jug ki raat andheri main ik taara tha vo doob gaya
Aur vaaday saath nibhaanay ke sab bhool bhula ker khoob gaya

Aa mehfil chup chaap bethi hai aa mehfil ka jee shaad karain
Vo log jo teray aashiq hain kayee roz se tujh ko yaad karain
Vo tthor thikaanay dhoond aaye vo manzil manzil chu aaye
Ab aas lagaaye bethay hain kab dastak ho kab tu aaye

~Ibn Insha