Wednesday, June 25, 2008

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain

*Aik aisay shakhs ke liye jis ki main teh-e-dil se izzat karti hoon aur be-panah mamnoon-o-mashkoor hoon

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din theher ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haalon se
So apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o-shaairi se shaghaf
So hum bhi moejezay apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay to baaton se phool jhartay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat usay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu theher ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyaah chashmgi qayaamat hai
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamsaal hai jabee.n us ki
Jo saada dil hain usay ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
Keh phool apni qabaayen katar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
Makee.n udher ke bhi jalvay idher ke dekhtay hain

Rukay to gardishain us ka tavvaaf karti hain
Chalay to us ko zamaanay theher ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaakulain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaaj aur he laal-o-gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa.n main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhtay hain

Vo sarvqad hai magar be-gul-e-muraad nahin
Keh us shajar pe shagoofay samar ke dekhtay hain

Bus ik nigaah se loota hai qaafla dil ka
So raah ravaan-e-tamanna bhi darr ke dekhtay hain

Kahaaniyaan he sahi sab mubaalghay he sahi
Agar vo khaab hai tabeer kar ke dekhtay hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jaayen
Faraaz aao sitaaray safar ke dekhtay hain

~Ahmed Faraz

Monday, June 16, 2008

Tiray Karam Ne Mujhay Kar Liya Qubool Magar

Tiray karam ne mujhay kar liya qubool magar
Miray junoo.n se muhabbat ka haq ada na hua

Tiray ghamon ne miray her nishaat ko samjha
Mira nishaat tiray gham se aashna na hua

Kahaan kahaan na miray paaoon larkharaaye magar
Tira sabaat ajab tha keh haadsa na hua

Tira karam ghata bhi to bepanaah raha
Mira sulook barha bhi to munsifaana raha

Tiray dukhon ne pukaara to main qareeb na tha
Miray ghamon ne sada dee to faasla na hua

~Mustafa Zaidi

Thursday, June 5, 2008

Haan Yeh Haqeeqat Hai

Haan yeh haqeeqat hai
Aaj main akeli hoon
Raastay he aisay hain
Faaslay he itnay hain
Keh kabhi main sochoon to
Toot toot jaati hoon
Raastay bulaatay hain
Main he rooth jaati hoon
Raaston main chalnay ka
Hausla nahin hota
Hausla bhi kesay ho
Jab bhi chalnay lagti hoon
Hamsafar nahin hota
Hamsafar bhi kesay ho
Raastay he aisay hain
Faaslay he itnay hain
Keh safar nahin hota
Saath chor detay hain
Jitna bhi bharosa ho
Log tor detay hain
Haan yeh haqeeqat hai
Aaj main akeli hoon
Lekin aik bharosa hai
Aur ik yaqee.n sa hai
Jis ko saath chalna hai
Vo abhi nahin aaya
Vo he mujh ko thaamay ga
Aur yaqee.n dilaaye ga
Hamsafar na hotay to
Raastay nahin hotay
Faaslay nahin hotay
Ye jo ik yaqee.n sa hai
Bus yehi ghaneemat hai

~Unknown