Thursday, July 30, 2009

Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se

Zikr-e-shab-e-firaaq se vehshat usay bhi thee
Meri tarah kisi se mohabbat usay bhi thee
firaaq = separation (from beloved)
vehshat = apprehensive uneasiness

Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
Rasta badal ke chalne ki aadat usay bhi thee
deed = visual manifestation; to see someone/something

Us raat der tak vo raha mehv-e-guftugu
Masroof main bhi kam tha faraaghat usay bhi thee
mehv = lost (in concentration); busy
faraaghat = idleness

Sunta tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan
Taaza rafaaqaton ki zaroorat usay bhi thee
rafaaqaton = plural of rafaaqat = companionship

Mujh se bicharr ke sheher se ghul mil gaya vo shakhs
Halaankeh sheher bhar se raqaabat usay bhi thee
raqaabat = rivalry

Vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya
Varna her aik saans qayaamat usay bhi thee
zabt = patience; control

Tanha hua safar mein to mujh per khula ye bhaid
Saaye se pyaar dhoop se nafrat usay bhi thee
bhaid = secret

Mohsin main yoon bhi keh na saka haal-e-dil usay
Darpesh aik taaza museebat usay bhi thee
darpesh = in front of, faced with

~Mohsin Naqvi

Vo Log Meray Bohot

Vo log meray bohot pyaar karnay vaalay thay
Guzar gaye hain jo mausam guzarnay vaalay thay

Nayee ruton mein dukhon ke bhi silsilay naye
Ke zakhm taaza huay hain jo bharnay vaalay thay

Yeh kis muqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki
Keh ab to jaa ke kahin din sanvarne vaalay thay

Tamaam raat nahaaya tha sheher barish mein
Wo rang utar hi gaye jo utarnay vaalay thay

Us aik chotay say qasbay mein rail thehri nahin
Vahaan bhi chand musaafir utarnay vaalay thay

~ Jamal Ehsani

Tuesday, July 28, 2009

Kia Mila Mohabbat Se - Khalil Ullah Farooqui

I posted the first few lines of this awesome poem on the 17th of January, 2007, not knowing it wasn't complete. Here's the full version, thanks to Sheharyaar Saahil.

Monday, July 27, 2009

Aye Ishq

Aye ishq na cher aa aa ke hamain
Hum bhoolay huon ko yaad na ker
Pehlay he bohot nashaad hain hum
Tu aur hamain nashaad na ker
Qismat ka sitam he kam nahin kuch
Yeh taaza sitam eejaad na ker
Yoon zulm na ker bedaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
sitam = cruelty

Jis din se milay hain donon ka
Sab chain gaya aaraam gaya
Chehron se bahaar-e-subha gayee
Aankhaon se farogh-e-shaam gaya
Haathon se khushi ka jaam chuta
Honton se hansi ka naam gaya
Ghamgee.n na bana nashaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
farogh = to promote

Raaton ko uth uth rotay hain
Ro ro ker duaayen kartay hain
Aankhon mein tasavvur dil mein khalish
Sar dhuntay hain aahain bhartay hain
Aye ishq yeh kesa rog laga
Jeetay hain na zaalim martay hain
Yeh zulm to aye jallaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
khalish = mental pinch, dissatisfaction
dhuntay = appreciative enjoyment, in way of head bobbing
jallaad = executioner

Yeh rog laga hai jab se hamain
Ranjeeda hoon main beemaar hai vo
Her waqt tapish her waqt khalish
Bekhaab hoon main bedaar hai vo
Jeenay se idher bezaar hoon main
Marnay pe udher taiyyaar hai vo
Aur zabt kahay fariyaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
rog = pest, defect, shortcoming

Duniya ka tamaasha dekh liya
Ghamgee.n si hai betaab si hai
Ummeed yahaan ik vehem si hai
Taskeen yahaan ik khaab si hai
Duniya mein khushi ka naam nahin
Duniya main khushi nayaab si hai
Duniya main khushi ko yaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
taskeen = satisfaction

~ Akhter Shirani

* This is not the full version. You can find the full version on urdupoetry.com.

Friday, July 24, 2009

Murti Hui Galiyaan Chori Hain

Murti hui galiyaan chori hain
Khilti hui kaliyaan chori hain
Jhoolay ki vo sakhiyaan chori hain
Har taaq mein guriyaan chori hain
Jab tujh se naata jora hai
Mat pooch keh kya kya chora hai

~ Parveen Shakir

Dil-e-Saada

Dil-e-saada tumhain ab to yehi baavar karaana hai
Jisay tum yaad kartay ho, usay ab bhool jaana hai
baavar = to make something believe

Safar yeh vaapsi ka haulay haulay tay karo us ne
Tumhain aavaaz deni hai tumhain vaapas bulaana hai

Kinaaron se nikal sakti hain kab ye muztarib maujain
Inhain saahil se takraana hai aur phir laut jaana hai
muztarib = restless, antsy

Suno na meherbaa.n kuch meherbaa.n lamhon ki sargoshi
Mujhay kuch yaad rakhna hai tumhain kuch bhool jaana hai
sargoshi = whisper

~Jawad Ahmed Jawad

Tuesday, July 14, 2009

Do Dilon Ki Qurbat Mein

Do dilon ki qurbat mein
Teesra nahin hota
Vaastay nahin chaltay
Dosti ke rishton mein
Parvarish zaroori hai
Silsilay ta'lluq ke
Khud se ban to jaatay hain
Lekin in shagoofon ko
Toot ke bikharnay se
Rokna bhi parta hai
Chahaton ki mitti se
Aarzu ke paudon ko
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baaton ko
Bhoolna bhi parta hai

~ Amjad Islam Amjad

qurbat = closeness
vaastay = references!
parvarish = to raise
shagoofon = flowers/plants
seenchna = raise with one's blood; something that's very hard to grow
ranjishon = grudges

Wednesday, July 8, 2009

Dukh

Bohot khoobsoorat theen aankhain tumhaari
Ban jaateen kaash yeh qismat hamaari

Saturday, July 4, 2009

Phir Is Khizaa.n Mein

Phir is khizaa.n mein,
Murjhaaya pehla patta,
Wohi patta mera tha ......
Phir toota ik sapna,
Jaise toota mera dil ...
Jo basaaya khaabon ke motiyon se,
Moam jaisa vo narm-o-naazuk...
Pighla wohi aashiyaana,
Ujra phoolon sa chaman,
Toota wohi ghar mera tha....

~ Fahad Munir

Thursday, July 2, 2009

Mora Saiyan - Khamaj - Fuzon

Even if you have listened to this song a billion times before, like I have, listen to it here again. There's something special about this performance.