Saturday, March 28, 2009

Jo Dard Ke Sehra Mein

Jo dard ke sehra mein akela bhi bohot hai
Us ke liye deevaar ka saaya bhi bohot hai

Dekha nahin tanhaayee mein tum ne kabhi us ko
Bichray huay logon ko roya bhi bohot hai

Kuch tujh ko muhabbat pe yaqee.n tha na vafa per
Kuch dukh meri taqdeer mein likkha bhi bohot hai

Beenaayee andheron se bhala kesay bachaata
Ik shakhs teray hijr mein roya bhi bohot hai

~Noshi Gilani

Friday, March 20, 2009

Tanhaayee

Phir koi aaya dil-e-zaar! nahin, koi nahin
Raahru ho ga, kahin aur chala jaayega
Dhal chuki raat, bikharnay laga taaron ka ghubaar
Larkharaanay lagay aivaanon mein khaabeeda chiraagh
So gayee raasta tak tak ke her ik raahguzaar
Ajnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh
Gul karo shamein, barha do mai-o-meena-o-ayyaagh
Apnay bekhaab kivaaron ko muqqafil kar lo
Ab yahaan koi nahin, koi nahin aaye ga!

~Faiz Ahmed Faiz

azaar = sad
raahru = pedestrian
ghubaar = dust
aivaan = building
khabeeda = sleepy, drowsy
suraagh = clue, piece of evidence
mai = wine
meena-o-aayyaagh = glass and jug
kivaar = door
muqqafil = locked


(Again has someone come, sad heart -- no; no one
Maybe a passerby -- will go somewhere else.
Night declined, the stardust scatters,
Drowsy lamps waver in the buildings
Every path, after long waiting, sleeps
The unfamiliar dust has blurred traces of footsteps,
Put out the candles, take out wine and jug and cup
Lock up your sleepless doors
Now no one, no one will come here).

~ Translation by: N. H. K. Qureshi

Friday, March 13, 2009

Saathi

Aansuon ko bohot samjhaaya
Keh tanhaaiyyon mein aaya karo
Mehfil mein hamaara mazaaq mat uraaya karo
Is per aansu tarap ker bolay
Itnay logon mein bhi aap ko tanha paatay hain
Is liye tumhaara saath denay chalay aatay hain

~Unknown

Monday, March 9, 2009