Tuesday, September 29, 2009

Tum Ne To Keh Diya

Tum ne to keh diya keh mohabbat nahin mili
Mujh ko to yeh bhi kehnay ki mohlat nahin mili

Neendon ke des jaatay koi khaab dekhtay
Lekin diya jalaanay se fursat nahin mili

Tujh ko to kher shehr ke logon ka khauf tha
Aur mujh ko apnay ghar se ijaazat nahin mili

Phir ikhtilaaf-e-raaye ki soorat nikal pari
Apni yahaan kisi se bhi aadat nahin mili

Bezaar yoon huay keh teray ehed mein hamain
Sab kuch mila sukoon ki daulat nahin mili

~ Noshi Gilani

mohlat = time
fursat = faraghat = spare time
ikhtilaaf-e-raaye = disagreement of opinion
bezaar = nonchalant
ehed = time period

Wednesday, September 9, 2009

Sher

Teri chaap sunnay vaala tera muntazir hai ab tak
Abhi kal talak yeh rasta teri rahguzar raha hai
Tujhay mil sakay jo fursat to yeh dekh teri khaatir
Koi kesay jee raha hai, koi kesay marr raha hai

~ Aitebar Sajid

SubhanAllah!


A crescent moon is seen behind the King Hussein Bin Talal Mosque in Amman, Jordan on August 23, 2009, during Ramadan. (REUTERS/Muhammad Hamed)

Sunday, September 6, 2009

16th Ramadan

Tujhe bhool jaanay ki koshishain kabhi kaamiyaab na ho sakeen
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai, jo hava chali to lachak gayee

Wednesday, September 2, 2009

Boredom

If you know of some cool blogs, let me know. Anything and everything will do.
Thanks!

Tuesday, September 1, 2009

Khuli Aankhon Mein

Khuli aankhon mein sapna jaagta hai
Vo soya hai keh kuch kuch jaagta hai

Teri chaahat ke bheegay jangalon mein
Mera tan mor ban ke naachta hai

Mujhe her kefiyat mein kiyoon na samjhay
Vo meray sab havaalay jaanta hai

Kisi ke dheyaan mein dooba hua dil
Bahaanay se mujhay bhi taalta hai

Sarak ko chor ker chalna paray ga
Keh meray ghar ka kaccha raasta hai

~ Parveen Shakir