Sunday, June 27, 2010

Suno Logo

Suno logo
Meri aankhain khareedo ge
Bohot majboor haalat mein mujhe neelaam karni hain
Koi mujh se naqd le le
Main thoray daam kar doon ga
Jo pehli boli de de ga
Usi ke naam kar doon ga
Mujhay bazaar vaalay keh rahay hain kam aql taajir
Aray sunsaan logo nahin hoon main hirs ka khwahaan
Nafa nuqsaan ki shatranj nahin main khelnay aaya
Koi mujh ko kahay na manchala sa behunar taajir
Bata paaoon tumhain kesay kis tashveesh mein rakkhoon
Suno logo
Bari mehboob tar hain mujh ko meri neem tar aankhain
Magar ab bechta hoon keh
Mujhay ik khaab ka taavaan bharna hai
Suno logo
Meri aankhain khareedo ge
Bohot majboor haalat mein mujhay neelaam karni hain

~ Unknown

neelaam = to auction
naqd = [on] cash
daam = price
taajir = sauda garr; he who does import/export (the proper noun is escaping me at the moment)
sunsaan = eerie; empty
hirs = greed
khwahaan = to be willing of
nafa = benefit; profit
shatranj = chess
manchala = crazy; demented
tashveesh = suspence
neem = almost
tar = wet
taavaan = ransom


I can write pages and pages in explaining this poem and still won't be able to do justice. It hits something very close to home, so I'll just stick to writing it in prose. It's up to you to give it your own meaning. Here goes:
[Do you want to buy my eyes? I'm auctioning them out of desperation (to meet a dire need), so I'll take whatever I get (compensation; money), from whoever makes the first bid. People are calling me names and think I'm an unskilled auctioneer, for selling my merchandise so haphazardly. Now how do I explain to them that I love my eyes very much, but I have to sell them because I need to pay ransom for a dream].

Wednesday, June 16, 2010

"3:30 AM" Blues

Yaad-e-maazi azaab hai ya Rabb
Cheen le mujh se haafza mera
----------------------------------------

Monday, June 14, 2010

Sher

Jahaan batt rahi thee khushi Zafar, vahaan jangalon ka rivaaj tha
Main qabeelay bhar mein naheef tha, meray haath kuch bhi laga nahin