Sunday, November 21, 2010

Sher

Us ne aanchal se nikaali meri gum gushta beyaaz
Aur chupke se mohabbat ka varaq mor diya
Hum ko maaloom tha anjaam-e-mohabbat, hum ne
Aakhri harf se pehle he qalam tor diya

Saturday, November 20, 2010

Bebasi!

Ok peoples, this is serious!

Now how the hell do I change fonts and colours here? And yes, I know the most basic route... but IT'S NOT WORKING! The changes I'm making in font sizes and colours aren't staying.

What do I do?

Sunday, November 7, 2010

Sheeshoo.n ka Maseeha

Moti ho keh sheesha, jaam keh durr
Jo toot gaya, so toot gaya
Kab ashko.n say jurr sakta hai
Jo toot gaya, so choot gaya

Tum naahaq tukray chun chun kar
Daman mei.n chupaaye baithay ho
Sheesho.n ka maseeha koi nahin
Kiya aas lagaaye baithay ho

Shaayed keh inhi.n tukro.n mai.n kahi.n
Vo saaghir-e-dil hai jis mei.n kabhi
Sad naaz say utra karti thi
Sehbaay-e-gham-e-jaanaa.n ki pari

Phir duniya vaalo.n nay tum say
Yeh saaghar lay kar phorr diya
Jo maiy thi, baha di mitti mei.n
Mehma.n ka shehpar tor diya

Yeh rangeen rezay hai.n shayad
Un shokh bilori.n sapno.n kay
Tum mast jawani mai.n jin say
Khalwat ko sajya kartay thay

Nadari, daftar bhook aur gham
In sapno.n say takratey rahey
Be reham tha chomukh pathrao
Yeh kaanch kay dhanchay kiya kartay

Ya shayad in zarro.n mai.n kahi.n
Moti hai tumhari izzat ka
Voh jis say tumharay ijz par
Shamshad qadro.n nay raksh kiya

Is mal ki dhun mai.n phirtay thay
Tajir bhi buhat, rehzun bhi kai
Hai chor nagar, yaa.n muflis ki
Gar jan bachi tou aan gai

Yeh saghar sheeshay laal-o-guhr
Salim hoo to qeemat patay hai.n
Yu.n tukray tukray hoo to faqt
Chubtay hai.n, lahoo rulwatay hai.n

Tum nahaq tukray chun chun kar
Daman mai.n chupaye baithay ho
Sheesho.n ka maseeha koi nahi
Kia aas lagaye baithay ho

Yadoo.n kay garebano.n kay rafo
Par dil ki guzr kab hoti hai
Ik bakhia udhaira, aik siya
Yu.n umr basr kab hoti hai

Is kar geh hasti mai.n jaha.n
Yeh saghar sheeshay dhaltay hai.n
Har shay ka badal mil sakta hai
Sub daman pur ho saktay hai.n

Jo hath barhay yawar hai yeha.n
Jo aankh uthay, wo bakhtawar
Ya.n dhan dolat ka ant nahi
Ho.n ghat mai.n lakh daku magar

Kab loot jhapat say hasti ki
Dukanai.n khali hoti hai.n
Ya.n parbat parbat heeray hai.n
Ya.n sagar sagar moti hai.n

Kuch log hai.n jo is daulat par
Parday lutkaye phirtay hai.n
Har parbat ko, har sagar ko
Neelam charhaye phirtay hai.n

Kuch wo bhi hai.n jo lar bhar kar
Yeh parday noch giratay hai.n
Hasti ki uthai geero.n ki
Har chal uljhaye jatey hai.n

In dono.n mai.n run parta hai
Nit basti basti, nagar nagar
Har basti ghar kay seenay mai.n
Har chalti rah kay mathay par

Yeh kalak bhartay phirtay hai.n
Voh jot lagatay phirtay hai.n
Yeh aag lagatay phirtay hai.n
Voh aag bujhatay phirtay hai.n

Sab saghar sheeshy, laal-o-guhr
Is bazi mai.n bid jatay hai.n
Utho sab khali hatho.n
Us ran say bulawey atay hai.n

~ Faiz Ahmed Faiz