Friday, April 22, 2011

Thursday, April 21, 2011

Mairay Maalik

Mairay maalik tera karam hai
Tu ne her ik mausam
Hamaray liye he banaaya hai
Teri her ik rut mein
Chupi hamaari raahat hai
Pur-bahaar rut jab bhi aati hai
To mera dil machalnay lagta hai
Naye phool khiltay hain to
Dil angraaiyaan leta hai
Is mausam ke aatay he
Dil umeedain baandhta hai
Keh mera sajna mera saathi
Mera humdum mera maahi
Is bahaar rut mein to
Aan milay ga mujh se bhi

~ Kausar Khan

I normally don't go for stuff like this but I guess it's the simplicity and innocence of this poem that just makes me smile. Hope you'll enjoy it as well.

Saturday, April 9, 2011

Sheher Ko Choray

Sheher ko choray barson beetay jholi mein koi aas nahin
Un galiyon mein pohnch na paayen aisa bhi bin baas nahin

Jab se pyaar ki maala pehni jab se pyaar mein jog liya
Jis dharti ne gode mein paala vo dharti bhi raas nahin

Chaand utar ker baam pe aaya palkon per yeh raat dhali
Dil ki baat bataayen kis ko koi lutera paas nahin

Rang neyara roop pyaara phool khilay hain kiyaari mein
Soch samajh ker haar banaana in phoolon mein baas nahin

Geyaan ka saagar soch ki lehrain jeevan bhar ka rog nahin
Is per duniya paagal samjhay dukh sukh ka ehsaas nahin

Dhan daulat ki aag mein dekho tan man donon raakh huay
Lobh ki maari duniya yaaro koi yahaan ab daas nahin

Basti chori log bhi chootay chor diye vo rastay bhi
Aas niraas sabhi kuch chora chaahat ki ab pyaas nahin

Na vo pyaar ki dhoop ropehli n vo yaad ke phool khilay
Paaoon neechay dharti badli sar per vo aakaash nahin

~ Shafi Aqeel