Friday, August 19, 2011

Us Ke Honay

Us ke honay ka yaqee.n jab humsafar ban jaaye ga
Dekh lena dasht mein bhi aik ghar ban jaaye ga

Yoon to donon he shanasa hain junoo.n ke vasf se
Be dili yoon hai keh yeh sab dard-e-sar ban jaaye ga

Us ki baataon ka ujaala us ki khushbu ka suroor
Hijraton ke safr mein rakht-e-safar ban jaaye ga

Subha dam us ka badan tha meri khushbu ka safeer
Kiya khabar thee vasl itna moetabar ban jaaye ga

Dheere dheere dekhna ik din vafa ka silsila
Kashti-e-dil ke liye gham ka bhanvar ban jaayega

~Unknown

Monday, August 8, 2011

:)

Meray aziz qaare'een,

Is blog ko chand saal pehlay Amjad Islam Amjad ki nazam, "tulu-e-shams-e-mufarqat hai" se shuru kiya tha, jab ammi se bicharnay ka dard apnay urooj per tha. Aisay main kitnay he dard alfaaz ka roop dhaal ker idher muntaqil hotay rahay, kitni khahishain hasratain ban ker safhay pe safha kaala karti raheen... meri umr ka aik bohot bara aur gehra hissa is blog mein hai. Meray tamaam aansoo idher hain.

Aur aaj mujhay aap sab ko yeh bataatay huay bohot khushi ho rahi hai keh meray tamaam dukhon ka madava Khuda ne aik behadd acchay shakhs ko bhej kar kar diya hai. Ab shayed is blog pe khushiyon se bharpoor shairi ke ilava aur kuch bhi na ho, kiyoonkeh main zindagi ki bohot piyari kefiyaat se guzar rahi hoon, apnay maseeha ko apna mohsin mantay huay, un ki sangat mein raah ke tamaam phool chuntay huay aik nayee dunia aabaad karnay jaa rahi hoon.

Hamain apni naik duaaon mein zaroor yaad rakkhiye ga keh in se anmol aur kuch bhi nahin hota.

~A