Aa keh vabesta hain us husn ki yaadain tujh se
Jis ne is dil ko pari-khaana bana rakkha tha
Jis ki ulfat main bhula rakkhi thee duniya hum ne
Der ko dehr ka fasana bana rakkha tha
Aashna hain teray qadmon se vo raahain jin per
Us ki madhosh javani ne enayat ki hai
Karvaa.n guzray hain jis se usi ra'anayee ke
Jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hai
Tujh se kheli hain vo mehboob havaayen jin main
Us ke malboos ki afsurdah mehek baaqi hai
Tujh per bhi barsa hai us baam se mehtaab ka noor
Jis main beeti hui raaton ki kasak baaqi hai
Tu ne dekhi hai vo peshaani, vo rukhsaar, vo hont
Zindagi jin ke tasavvur main ganva di hum ne
Tujh pe uthi hain vo khoyee hui saahir aankhain
Tujh ko maloom hai kiyoon umr ganva di hum ne
Hum pe mushtarka hain ehsaan gham-e-ulfat ke
Itnay ehsaan keh ginvaaoon to ginva na sakoon
Hum ne is ishq main kiya khoya hai kiya seekha hai,
Juz teray kisi aur ko samjhaaoon to samjha na sakoon
~Faiz Ahmad Faiz