Dasht-e-hijraa.n mein na saaya na sada teray baad
Kitnay tanha hain teray aabla-pa teray baad
Koi peghaam na dildaar-e-nava teray baad
Khaak uraati hui guzri hai saba teray baad
Lab pe ik harf-e-talab tha na raha teray baad
Dil mein taaseer ki khahish na dua teray baad
Aks-o-aaina mein ab rabt ho kiya teray baad
Hum to phirtay hain khud apnay se khafa teray baad
Dhoop aariz ki na zulfon ki ghata teray baad
Hijr ki rut hai keh habs ki fiza teray baad
Liye phirti hai sar-e-koo-e-jafa teray baad
Parcham-e-tar garebaa.n ko hava teray baad
Perahan apna na salamat na qaba teray baad
Bus vahi hum hain vahi sehra ki rida teray baad
Nikhat-o-ney hai na dast-e-qaza teray baad
Shaakh-e-jaa.n per koi ghuncha na khila teray baad
Dil na mehtaab se ujla na jala teray baad
Aik jugnu tha chup chaap bujha teray baad
Dard seenay mein hua nauha-sara teray baad
Dil ki dharkan hai ke maatam ki sada teray baad
Kaun se rango.n ke bhanvar kesi hina teray baad
Apna khoon meri hatheli pe saja teray baad
Tujh se bichra to murjha ke hava-burd hua
Kaun deta mujhay khilnay ki dua teray baad
Aik hum hain ke be barg-o-nava teray baad
Varna aabaad hai sab khalq-e-Khuda teray baad
Aik qayaamat ki kharaashain meray chehray pe sajeen
Aik mehshar meray andar se utha teray baad
Aye falak-e-naaz meri khaak nishaani teri
Main ne matti pe tera naam likha teray baad
Tu ke simta to rag-e-jaa.n ki hadon mein simta
Main ke bikhra to sameta na gaya teray baad
Ye alag baat hai ke afshaa.n na hua tu varna
Main ne kitna tujhay mehsoos kiya teray baad
Milnay vaalay kayee mafhoom pehen ker aaye
Koi chehra bhi na aankhon ne parha teray baad
Bujhay jaatay hain khad-o-khaal manaazir afaq
Phelta jaata hai khaahish ka khala teray baad
Meri dukhti hui aankhon se gavaahi lena
Main ne socha tujhay apnay se siva teray baad
Seh liya dil ne teray baad malaamat ka azaab
Varna chubhti hai rag-e-jaa.n mein hava teray baad
Jaan-e-Mohsin mera haasil yehi mubham satrain
Sher kehnay ka hunar bhool gaya teray baad
~Mohsin Naqvi