Varaq varaq per teri ibaarat tera fasaana teri hikaayat, Kitaab-e-hasti jahaan se kholi teri mohabbat ka baab nikla
Friday, August 27, 2010
Ambri (Mother) by Anwar Masood
"7 saal ho gaye? Dekho pata bhi nahin chala"
Of course aap ko pata nahin chala. Mujhay to pata chala. Her us vaqt jab koi chot lagi, pata chala. Jab jab koi takleef hui, pata chala. Jab jab dil dukha, pata chala. Her us mor per jab logon ne saath chora, pata chala. Aap ko bhala kesay pata chalta, zindagi to meri thee. Mujhay pata chala. Her pal pata chala.
Saturday, August 21, 2010
Ab Jo Bikhray
Ab jo bikhray to bikharnay ki shikayat kesi
Khushk patton ki havaaon se rafaaqat kesi
Main ne her daur mein insaa.n se mohabbat ki hai
Jurm sangeen hai phir is mein riayat kesi
Aik patta bhi juda jab shaakh se hota hai
Kiya kahoon dil pe guzarti hai qayamat kesi
Zindagi tujh ko to lamhon ka safar jaana tha
Raah mein aa gayee saddiyon ki musaafat kesi
~Unknown
Subscribe to:
Posts (Atom)