Kabhi Main Yaad Aaon To Kabhi Tanhai Ki Raatein Tumhein Zyada Sataein To Kabhi Titli Na Boley To Kabhi Jugnoo Laut Jayein To Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye To Koi Jab Sun Na Paaye To Agar Sab Dost Saathi Bhi Jo Tum Sy Rooth Jayein To Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar Thakan Sy Choor Ho Jao To Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley Ro Na Pao To Apni Aankhon Ko Band Karna Mujhy Aawaz Dena Aur... Phir Mere Tasawur Se Jo Chaho Keh Dena Mere Kaandhy Pe Sar Rakh Kar Tum Jitna Chaho Ro Lena Phir Jab Khud Mein Laut Jao To Issi Dunya Mein Chaley Jana Magar Bass Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein Humein Dil Sy Pukaro Ge Humein Saath Pao Ge Humein Paas Pao Ge
Varaq varaq per teri ibaarat tera fasaana teri hikaayat, Kitaab-e-hasti jahaan se kholi teri mohabbat ka baab nikla
Wednesday, December 5, 2012
Kabhi Main Yaad Aaoon
Wednesday, November 28, 2012
Nazar Mila Na Sakay
Nazar mila na sakay us se us nigaah ke baad
Wohi hai haal hamara jo ho gunaah ke baad
Main kesay aur kis simt morrta khud ko
Kisi ki chaah na thi dil mein teri chaah ke baad
Zameer kaamp to jaata hai aap kuch bhi kahain
Vo ho gunaah se pehlay keh ho gunaah ke baad
Gavaah chaah rahay thay vo begunaahi ka
Zabaan se keh na saka kuch Khudagavah ke baad
Khatoot kar diye vaapas magar meri neendain
Unhain bhi chor do ik rehem ki nigaah ke baad
~Krishan Bihari Noor

Thursday, November 8, 2012
Friday, September 14, 2012
Umr Jalvon Mein Basar Ho
Umr jalvon mein basar ho yeh zaroori to nahin
Her shab-e-gham ki seher ho yeh zaroori to nahin
Chashm-e-saaqi se piyo ya lab-e-saagar se piyo
Bekhudi aathon peher ho yeh zaroori to nahin
Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Un ki aaghosh mein sar ho yeh zaroori to nahin
Shaikh karta to hai masjid mein Khuda ko sajday
Us ke sajdon mein asar ho yeh zaroori to nahin
Sab ki nazron mein ho saaqi yeh zaroori hai magar
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaroori to nahin
~Khamosh Dehlvi

Tuesday, June 26, 2012
Saturday, April 14, 2012
Thursday, April 12, 2012
Sher
Tujhe kia khabar teri yaad ne mujhe kaisay kaisay sata diya
Kabhi tanhaai main hansa diya kabhi mehfilon mein rula diya
Kabhi yoon hua teri yaad mein meri har namaaz qaza hui
Kabhi yoon hua teri yaad ne mujhe mere rabb se mila diya
Friday, April 6, 2012
Saturday, March 31, 2012
Teri Khushbu Ka
Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsaan hava karti hai
Shab ki tanhaai mein ab to aksar
Guftugu tujh se raha karti hai
Dil ko us raah pe chalna he nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai
Zindagi meri thi lekin ab to
Teray kehnay mein raha karti hai
Us ne dekha he nahin varna ye aankh
Dil ka ehvaal kaha karti hai
Shaam partay he kisi shakhs ki yaad
Koocha-e-jaa.n mein sada karti hai
Dukh hua karta hai kuch aur bayaa.n
Baat kuch aur hua karti hai
Abr barsay to inaayat us ki
Shaakh to sirf dua karti hai
Masla jab bhi utha chiraaghon ka
Faisla sirf hava karti hai
~Parveen Shakir
Wednesday, March 14, 2012
Jisay Aks Aks
Jisay aks aks ganva diya
Kabhi rubaru thi meray liye
Jisay naqsh naqsh mita diya
Kabhi chaar su thi meray liye
Jo had-e-hava se bhi door hai
Kabhi ku-ba-ku thi meray liye
Jo tapish hai mauj-e-saraab ki
Kabhi aabju thi meray liye
Jisay 'aap' likhta hoon khat mein ab
Kabhi sirf 'tu' thi meray liye
~Mohsin Naqvi
Thursday, January 26, 2012
Saturday, January 14, 2012
Koi Chaaon Ho
Koi chaaon ho
Jisay chaaon kehnay mein
Dopeher ka gumaan na ho
Koi shaam ho
Jisay shaam kehnay mein shab ka koi nishaan na ho
Koi vasl ho
Jisay vasl kehnay mein hijr rut ka dhuaan na ho
Koi lafz ho
Jisay likhnay parhnay ki chaah mein
Kabhi aik lamha garaa.n na ho
Yeh kahaan hua hai keh hum tumhain
Kabhi apnay dil se pukaarnay ki sa'ii karain
Vohee.n aarzu be-amaa.n na rahay
Vohee.n mausam-e-gham-e-jaa.n na ho
~ Unknown
Subscribe to:
Posts (Atom)