Gehray aashnaao.n se rasm-o-rah qayamat hai
Tairna na aaye to doob jaana parta hai
Khoo.n mein jab mehekta hai zaaiqa mohabbat ka
Kitni talkh yaadon ko bhool jaana parta hai
Koi jaltay mausam mein aashna nahin hota
Har kisi ko bojh apna khud uthaana parta hai
Dil mein jab utarta hai zehr-e-karb-e-tanhaayee
Pattharon se bhi Farigh jee lagaana parta hai
~Farigh Bukhari
Varaq varaq per teri ibaarat tera fasaana teri hikaayat, Kitaab-e-hasti jahaan se kholi teri mohabbat ka baab nikla
Friday, November 22, 2013
Tuesday, November 19, 2013
Hum Ko Kis Ke
Hum ko kis ke gham ne maara, ye kahaani phir sahi
Kis ne tora dil hamaara ye kahaani phir sahi
Dil ke lutnay ka sabab poocho na sab ke saamnay
Naam aayega tumhaara ye kahaani phir sahi
Nafraton ke teer kha kar doston ke sheher mein
Ham ne kis kis ko pukaara ye kahaani phir sahi
Kya bataayen pyaar ki baazi vafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun haara ye kahaani phir sahi
~Masroor Anwar

Subscribe to:
Posts (Atom)