Tuesday, May 13, 2008

Chehray Pe Meray Zulf Ko Phailaao Kisi Din

Chehray pe meray zulf ko phailaao kisi din
Kiya roz garajtay ho baras jaao kisi din

Raazon ki tarah utro meray dil main kisi shab
Dastak pe meray haath ki khul jaao kisi din

Peron ki tarah husn ki baarish main naha loon
Baadal ki tarah jhoom ke ghar aao kisi din
peron = darakhton = trees

Khushbu ki tarah guzro meray dil ki gali se
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko kheraat milay band-e-qaba ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisi din

Guzrain jo meray ghar se to ruk jaayen sitaaray
Is tarah meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni her ek saans usi raat ko de doon
Sar rakh ke meray seenay pe so jaao kisi din

~Amjad Islam Amjad

Friday, May 2, 2008

Aye Door Nagar Ke Banjaaray

Aye door nagar ke banjaaray gar chor ke aisay jaana tha
Kiyoon chah ki raah dikhaani thee kiyoon piyaar ka haath barhaana tha

Hai duniya ke hangaamon main rangeeni bhi ra'naayee bhi
Her cheez yahaan ki piyaari hai mehroomi bhi rusvaayee bhi
Sab log yahaan per qismat ke be-taur thaperay sehtay hain
Per jeetay hain aur jeenay ki ik aas se chimtay rehtay hain

Aur tu to ik khilaari tha kiyoon khel he se moo.n mor liya
Kiyoon jaan ki baazi haar gaya kiyoon umr ka rishta tor liya

Go jaanay ke mushtaaq yahaan hum jesay laakh bechaaray hon
Vo log he rukhsat hotay hain jo log keh sab ko piyaaray hon
Is jug ki raat andheri main ik taara tha vo doob gaya
Aur vaaday saath nibhaanay ke sab bhool bhula ker khoob gaya

Aa mehfil chup chaap bethi hai aa mehfil ka jee shaad karain
Vo log jo teray aashiq hain kayee roz se tujh ko yaad karain
Vo tthor thikaanay dhoond aaye vo manzil manzil chu aaye
Ab aas lagaaye bethay hain kab dastak ho kab tu aaye

~Ibn Insha

Tuesday, April 15, 2008

Hamaray Darmiyaa.n

Hamaaray darmiyaa.n koi aisa rishta nahin tha
Teray shaanon pe koi chat nahin thee
Meray zimmay koi aangan nahin tha
Koi vaada teri zanjeer-e-paa bannay nahin paaya
Kisi iqraar ne meri kalaayee ko nahin thaama
Havaa-e-dasht ki maanind
Tu aazaad tha
Raastay teri marzi ke taabe' thay
Mujhay bhi apni tanhaayee pe
Dekha jaaye to
Poora tasarruf tha
Magar aaj jab tu ne
Raasta badla
To kuch aisa laga mujh ko
Keh jesay tu ne mujh se bevafaayee ki

~Parveen Shakir

Tuesday, April 8, 2008

Chota Sa Ik Gaaon Tha Jis Main

Chota sa ik gaaon tha jis main
Diye thay kam aur bohot andhera
Bohot shajar thay thoray ghar thay
Jin ko tha doori ne ghera
Itni bari tanhaayee thee jis main
Jaagta rehta tha dil mera
Bohot qadeem firaaq tha jis main
Aik muqarrar hadd se aagay
Soch na sakta tha dil mera
Aisi soorat main phir dil ko
Dheyaan aata kisi khaab main tera
Raaz jo hadd se bahar main tha
Apna aap dikhaata kesay
Sapnay ki bi hadd thee aakhir
Sapna aagay jaata kesay

~Amjad Islam Amjad

Monday, March 31, 2008

Kat He Gayee Judaayee Bhi

Kat he gayee judaayee bhi kab yoon hua keh marr gaye
Teray bhi din guzar gaye meray bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Jaanay vo tu kidhar gaya jaanay vo hum kidher gaye

Raahon main he milay thay hum raahain naseeb ban gayeen
Tu bhi na apnay ghar gaya hum bhi na apnay ghar gaye

Vo bhi ghubaar-e-khaak tha hum bhi ghubaar-e-khaak thay
Vo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye

Koi kinaar-e-aab-e-ju betha hua hai sar-nigoon
Kashti kidhar chali gayee jaanay kidhar bhanvar gaye

Teray liye chalay thay hum teray liye theher gaye
Tu ne kaha to jee uthay, tu ne kaha to marr gaye

Vaqt he kuch judaayee ka itna taveel ho gaya
Dil main teray firaaq ke jitnay thay zakhm bhar gaye

Baarish-e-vasl vo hui saara ghubaar dhul gaya
Vo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye

Itnay qareeb ho gaye itnay raqeeb ho gaye
Vo bhi Adeem darr gaya hum bhi Adeem darr gaye

~Adeem Hashmi

Friday, February 15, 2008

Kabhi Kabhi Koi Yaad

Kabhi kabhi koi yaad
Koi bohot puraani yaad
Dil ke darvaazay per
Aisay dastak deti hai
Shaam ko jesay taara niklay
Subha ko jesay phool
Jesay dheeray dheeray zameen per
Raushniyon ka nuzool
Jesay rooh ki piyaas bujhaanay
Utray koi rasool
Jesay rotay rotay achaanak
Hans de koi malool
Kabhi kabhi koi yaad
Koi bohot puraani yaad
Dil ke darvaazay per
Aisay dastak deti hai

~Unknown

Monday, January 7, 2008

Is Tarah Milay Ho Tum

Is tarah milay ho tum
Jesay taareek raahon main
Koi diya ho maddham sa
Jis ki raushni main khud ko
Dekh to sakta hoon magar
Ye raushni ka safar
Shaayed mera hamsafar na ho
Shaayed ke tera milna kabhi bhi
Meri zindagi ka muqaddar na ho
So aaj inhi lamhon main
Luta doon jitni chahatain hain
Meray dil ke nihaan khaanon main
Jitni ankahi baatain hain
Phir kal fursat milay ya nahin
Jis tarah saji hai aaj apni mehfil
Phir ye bazm kabhi sajay ya nahin
Kiyoonkeh main jaanta hoon yeh
Meri tamaam khaahishon main ab
Tumhain bhi shaamil hona hai
Aaj paaya hai tumhain muqaddar se
Kal isi tarah tumhain khona hai

~Unknown

Saturday, December 29, 2007

Deyaar-e-Ghair Main Kesay Tujhay Sada Detay

Deyaar-e-ghair main kesay tujhay sada detay
Tu mil bhi jaata to tujhay ganva detay

Tumhi ne hum ko na sunaaya dukh apna
Dua vo kartay keh aasmaa.n hum hila detay

Hamain ye zom raha keh ab vo pukaarain ge
Unhain ye zidd thee keh har baar hum sada detay

Vo tera gham tha ya taaseer meray lehjay ki
Keh jis ko haal sunaatay usay rula detay

Tumhain bhulaana he avval to dastaras main nahin
Jo ikhtiyaar bhi hota to kiya bhula detay

Tumhaari yaad ne koi javaab he na diya
Meray kheyaal ke aansu rahay sada detay

Sama'ton ko main ta-umr kosta Syed
Vo kuch na kehtay magar hont to hila detay

~Wasi Shah

Sunday, November 11, 2007

Ye Dil

Ye dil bhulaata he nahin hai mohabbatain us ki
Pari hui thee.n mujhay kis qadar aadatain us ki

Ye mera saara safar us ki khushbu'on main kata
Mujhay to raah dikhaati thee.n chahatain us ki

Ghiri hui hoon main chehron ki bheer main lekin
Kahin nazar nahin aatee.n shabahatain us ki

Main door honay lagi hoon to aisa lagta hai
Keh chaaon jesi thee.n mujh per rafaqatain us ki

Ye kis gali main, kis shehr main nikal aaye
Kahaan pe reh gayeen logo sadaqatain us ki

Main baarishon main juda ho gayee hoon us se magar
Ye mera dil, meri saansain, amanatain us ki

~Noshi Gilani

*aaj meri ammi ki chauthi barsi hai. Dua kijiye ga ke Khuda un ki maghfirat farma ke un ke darajaat buland farmaaye. (Ameen)

Friday, November 9, 2007

Khud-daariyon Ke Khoon Ko Arzaa.n Na Kar Sakay

Khud-daariyo.n ke khoon ko arzaa.n na kar sakay
Hum apnay jauharo.n ko numaayaa.n na kar sakay

Ho kar kharaab-e-mae teray gham to bhula diye
Lekin gham-e-hayaat ka darmaa.n na kar sakay

Tootaa talism-e-ehd-e-muhabbat kuch is tarah
Phir aarzu ki shama ferozaa.n na kar sakay

Her shay qareeb aa ke kashish apni kho gayee
Vo bhi ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.n na kar sakay

Kis darjaa dil-shikan thay muhabbat ke haadsay
Hum zindagi main phir koi armaa.n na kar sakay

Maayoosiyo.n ne cheen liye dil ke valvalay
Vo bhi nishaat-e-rooh ka saamaa.n na kar sakay

~Sahir Ludhianvi

Dekhnay Ki To Kisay Taab Hai Magar Ab Tak

Dekhnay ki to kisay taab hai magar ab tak
Jab bhi us raah se guzro
To kisi dukh ki kasak tokti hai keh vo darvaza khula hai ab bhi
Aur us sehen main har su yoon he pehlay ki tarah
Farsh-e-nau-ummeediye deedaar bicha hai ab bhi
Aur dil kehta hai kahin aur chalay jaayen
Jahaan koi darvaza abas va ho
Aur na koi yaad fariyaad ka kashkol liye bethi ho
Mahram-e-hasrat-e-deedaar ho deevaar koi
Aur na koi saya-e-gul, hijrat-e-gul se veeraa.n ho
Yeh bhi kar dekha hai...
Yeh bhi kar dekha hai her baar magar raahon main
Des pardes ki bemahar guzargaahon main
Qaaflay qaamat-o-rukhsaar lab-o-gesu ke
Pardah-e-chashm pe yoon utray hain be-soorat-o-rang
Jis tarah band dareechon pe giray baarish-e-sang
Aur dil kehta hai her baar laut chalo
Is se pehlay ke vahaan jaayen to ye dukh bhi na ho
Vo nishaani, keh vo darvaza khula hai ab bhi
Aur us sehen main har soo yoon he pehlay ki tarah
Farsh-e-nau-ummeediye deedaar bicha hai ab bhi

~Faiz Ahmed Faiz

Thursday, September 27, 2007

Teri Rehmaton Ke Deyaar Main

Teri rehmaton ke deyaar main teray baadalon ko pata nahin
Abhi aag sard nahin hui, abhi aik alaao bujha nahin
Meri bazm-e-dil to ujarr chuki, mera fars-e-jaa.n to simat chuka
Sabhi jaa chukay meri hamnashee.n magar aik shakhs gaya nahin
Dar-o-baam sab ne saja liye, sabhi raushni main naha liye
Meri ungliyaa.n bhi jhulas gayeen magar aik chiraagh jala nahin
Gham-e-zindagi! teri raah main shab-e-aarzu teri chaah main
Jo ujarr gaya vo basa nahin, jo bicharr gaya vo mila nahin
Jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh ke bhi door tha
Vahi aik gulaab ummeed ka meri shokh-e-jaa.n pe khila nahin
Pas-e-karvaa.n sar-e-rahguzar main shikasta paa hoon is liye
Keh qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin
Mira hamsafar jo ajeeb hai to ajeeb tar hoon main aap bhi
Mujhay manzilon ki khabar nahin usay raaston ka pata nahin

~Unknown

Wednesday, September 19, 2007

Faqeer Ban Kar

Faqeer ban kar tum un ke dar par hazaar dhooni rama ke betho
Jabee.n ke likhay ga kiya karo ge, jabee.n ka likha mita ke dekho

Aye un ki mehfil main aanay vaalo, aye sood-o-sauda bataanay vaalo
Jo un ki mehfil main aa ke betho, to saari duniya bhula ke betho

Bohot jataatay ho chaah hum se, magar karo ge nibaah hum se?
Zara milaao nigaah hum se, hamaaray pehlu main aa ke betho

Junoo.n puraana hai aashiqon ka, jo yeh bahaana hai aashiqon ka
To ik thikaana hai aashiqon ka, huzoor jungle main jaa ke betho

Hamain dikhaao na zard chehra, liye yeh vehshat ki gard chehra
Rahay ga tasveer-e-dard chehra, jo rog aisay laga ke betho

Janaab-e-Insha yeh aashiqi hai, janaab-e-Insha yeh zindagi hai
Janaab-e-Insha jo hai yehi hai, na is se daaman chura ke betho

~Ibn-e-Insha

Saturday, September 1, 2007

Tum Door Thay To Kiya Hua

Tum door thay to kiya hua
Tum mil gaye to kiya hua
Veeraaniyaan kam na huiin
Tanha tha main, tanha raha
Ik aas thee tum aao ge
To zindagi mil jaaye gee
Ik baar dekho ge idhar
To raushni mil jaaye gee
Jab aa gaye to kiya hua
Aankhain meri jalti raheen
Aur dil mera bujhta gaya
Tum door thay to kiya hua
Tum mil gaye to kiya hua
Ye to koi milna nahin
Keh faaslay hon darmiyaan
Khaamoshiyaan donon taraf
Tanhaaiyyaan donon taraf
Go raasta to aik hai
Per hamsafar hon ajnabi
To kis baat ka milna hua?

~Unknown, also a song by Vital Signs

What was the big deal when we were apart?
What is so great when we got together?
The silence remained...
I was alone before you came, I remained lonely even after you came.
I thought things would get lively with your arrival (in my life)...
I thought when you'd look at me, there would be light everywhere...
But when you came, my eyes kept stinging (the same feeling when you've cried for a long while)
My heart kept dying
What was the big deal when we were apart?
What is so great when we got together?
This is no union,
That there remain distances and silence between two people.
What's the point of a union when even though you're walking the same path, your partner is a stranger to you?!