Friday, March 30, 2007

Dil Main Kitnay Ehd Baandhay Thay Bhulaanay Ke Usay

Dil main kitnay ehd baandhay thay bhulaanay ke usay
Vo mila to sab iraaday torna accha laga

Be-iraada lams ki vo sansani piyari lagi
Kam tavajjo aankh ka vo dekhna accha laga

Neem shab ki khaamoshi main bheegti sarkon pe kal
Teri yaadon ke jalo main ghoomna accha laga

Us uduay-e-jaa.n ko Amjad main bura kesay kahoon
Jab bhi aaya saamnay vo bevafa accha laga

~Amjad Islam Amjad

Friday, March 23, 2007

Marg-e-Soz-e-Mohabbat

Phir oat le ke daaman-e-abr-e-bahaar ki
Dil ko manaayen hum, kabhi aansu bahaayen hum
Suljhaayen be-dili se ye uljhay huay savaal
Vaa.n jaayen ya na jaayen, na jaayen keh jaayen hum

Phir dil ko paas-e-zabt ki talqeen kar chukay
Aur imtihaan-e-zabt se phir jee churaayen hum
Aao keh aaj khatm hui daastaan-e-ishq
Ab khatm-e-aashqi ke fasaanay sunaayen hum

~Faiz Ahmed Faiz

Monday, March 12, 2007

Yu.nhi Besabab Na Phira Karo...

Yu.nhi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
Vo ghazal ki sacchi kitaab hai, usay chupkay chupkay parha karo

Abhi raah main kayee mor hain koi aaye ga koi jaaye ga
Tumhain jis ne dil se bhula diya usay bhoolnay ki dua karo

Mujhay ishtihaar si lagti hain ye muhabbaton ki kahaaniyaan
Jo kaha nahin vo suna karo, jo suna nahin vo kaha karo

Ye khizaan ki zard si shaam main, jo udaas per ke paas hai
Ye tumharay ghar ki bahaar hai, isay aansu.on se hara karo
(per = darakht = tree)

Koi haath bhi na milaaye ga jo galay milo ge tapaak se
Ye naye mizaaj ka shehr hai, zara faaslay se mila karo

~Bashir Badr

Sunday, March 11, 2007

Mujh Se Pehli Si Muhabbat Meray Mehboob Na Maang

Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang
Main ne samjha tha keh tu hai to darakhshaa.n hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kiya hai
Teri soorat se hai aalam main bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya main rakkha kiya hai
Tu jo mil jaaye to taqdeer nigoo.n ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siva
Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang

An-ginat sadiyon ke taareek baheemana tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwaab main bunvaaye huay
Jaabaja biktay huay koocha-o-bazaar main jism
Khaak main lithray huay khoon main nehlaaye huay
Jism nikaalay huay amraaz ke tanooro.n se
Peep behti hui galtay huay naasooro.n se
Laut jaati hai udher ko bhi nazar kiya kiijay
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kiya kiijay
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siva
Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang

~Faiz Ahmed Faiz

Friday, March 2, 2007

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Kheyaal Aata Hai...

Kabhi kabhi meray dil main kheyaal aata hai

Keh zindagi teri zulfo.n ki narm chaao.n main
Guzarnay paati to shadaab ho bhi sakti thee
Ye teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazr ki shuaao.n main kho bhi sakti thee

Ajab na tha keh main begaana-e-aalam ho ker
Teray jamaal ki ra'naaiyyon main kho rehta
Tera gudaaz badan, teri neembaar aankhain
Inhi haseen fasaano.n main mehev rehta

Pukaartee.n mujhay jab tilkhiyaa.n zamanay ki
Teray labon se halavat ke ghoont pee leta
Hayaat cheekhti phirti birhna-sar aur main
Ghaneri zulfo.n ke saaye main chup ke jee leta

Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Keh tu nahin, tera gham, teri justuju bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jesay
Isay kisi ke sahaaray ki aarzu bhi nahin

Zamaanay bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjaani guzargaaho.n se
Muheeb saaye meri simt barhtay aatay hain
Hayaat-o-maut ke pur-haul khaarah-zaaron se

Na koi jaada, na koi manzil, na roshni ka suraagh
Bhatak rahi hai khalaao.n main zindagi meri
Inhi khalaao.n main reh jaaoo.n ga kahee.n kho ker
Main jaanta hoon meri hum-nafs magar yoonhi

Kabhi kabhi meray dil main kheyaal aata hai...

~Sahir Ludhianvi

Friday, February 23, 2007

Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Ban jaayen Hum Donon

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayen hum donon

Na main tum se koi ummeed rakkhoon dil-navazi ki
Na tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazron se
Na meray dil ki dharkan larkharaaye meri baaton main
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se

Ta'aruf rog ho jaaye to us ko bhoolna behtar
Ta'alluq bojh ban jaaye to us ko torna accha
Vo afsana jisay takmeel tak lana na ho mumkin
Usay aik khoobsoorat mor de ker chorna accha

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayen hum donon

~Sahir Ludhianvi

Monday, February 12, 2007

Jo Utar Ke Zeena-e-Shaam se...

One of my MOST favorites...

Jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-khush main sama gaye
Vahi jaltay bujhtay se mehr-o-maah meray baam-o-darr ko saja gaye

Ye ajeeb khel hai ishq ka main ne aap dekha ye mo'jza
Vo jo lafz meray guma.n main thay vo teri zuba.n per aa gaye

Vo jo geet tum ne suna nahin meri umr bhar ka riyaz tha
Meray dard ki thee dastaa.n jisay tum hansi main ura gaye

Vo chiragh-e-jaa.n kabhi jis ki lau na kisi hava se nigoo.n huii
Teri be-vafayee ke vasvasay usay chupkay chupkay bujha gaye

Vo tha chaand shaam-e-vasaal ka keh tha roop teray jamaal ka
Meri rooh se meri aankh tak kisi roshni main naha gaye

Ye jo bandgaan-e-neyaaz hai ye tamaam hai vo lashkari
Jinhain zindagi ne amaa.n na dee to teray huzoor main aa gaye

Teri berukhi ke deyaar main main hava ke saath hava hua
Teray aainay ki talaash main meray khaab chehra ga.nva gaye

Teray vasvaso.n ke fishaar main tera sharaar-e-rang ujarr gaya
Meri khaahisho.n ke ghubaar main meray maah-o-saal-e-vafa gaye

Vo ajeeb phool se lafz thay teray hont jin se mehek uthay
Meray dasht-e-khaab main door tak koi baagh jesay laga gaye

Meri umr se na simat sakay meray dil main itnay savaal thay
Teray paas jitnay javab thay teri ik nigaah main aa gaye
(This is one my absolute favorite shers)

~Amjad Islam Amjad

Thursday, February 8, 2007

Naye Kapray Badal Ker Jaaoon Kahaan...

Naye kapray badal ker jaaoon kahaan aur baal banaoon kis ke liye
Vo shakhs to shehr he chor gaya ab khaak uraaoon kis ke liye

Jis dhoop ki dil ko thandak thee vo dhoop usi k saath gayee
In jalti bujhti galiyon main ab khaak uraaoon kis ke liye

Vo shehr main tha to us ke liye auron se milna parta tha
Ab aisay vesay logon ke main naaz uthaaoon kis ke liye

Ab shehr main us ka badl he nahin koi vesa jaan-e-ghazal he nahin
Aivaan-e-ghazal main lafzon ke guldaan sajaoon kis k liye

Muddat se koi aaya na gaya sunsaan pari hai ghar ki fiza
In khaali kamron main Nasir ab shama jalaaoon kis ke liye

~Nasir Kazmi

Sunday, February 4, 2007

Faaslay

Faaslay aisay bhi hon ge ye kabhi socha na tha
Saamnay betha tha meray aur vo mera na tha

Vo keh khushbu ki tarah phela tha meray chaar su
Main usay mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha

Raat bhar us ki he aahat kaan main aati rahi
Jhaank ker dekha gali main koii bhi aaya na tha

Aks to maujood thay per aks tanhaayee ke thay
Aaiina to tha magar us main tera chehra na tha

Aaj us ne dard bhi apnay alehda kar diye
Aaj main roya to meray saath vo roya na tha

Ye sabhi veeraaniyaan us ke juda honay say theen
Aankh dhundlaayee huii thee shehr dhundlaya na tha

Yaad kar ke aur bhi takleef hoti thee Adeem
Bhool jaanay k siva ab koii bhi chaara na tha

~Adeem Hashmi

Friday, January 26, 2007

Sher

Vo khaab tha bikhar gaya, kheyal tha mila nahin
Magar dil ko kiya hua, ye kiyoon bujha, pata nahin
Her aik din udas din, tamam shab udasiyan
Kisi se kiya bicharr gaye keh jesay kuch bacha nahin

Saturday, January 20, 2007

Kuch Aisay Ghaao Bhi Hotay Hain

Kuch aisay ghaao bhi hotay hain
Jinhain zakhmi aap nahin dhotay
Bin roye huay aansoo ki tarah
Seenay main chupa ke rakhtay hain
Aur saari umr nahin rotay
Neendain bhi muhaiiyya hoti hain
Sapnay bhi door nahin hotay
Kiyoon phir bhi jaagtay rehtay hain
Kiyoon saari raat nahin sotay
Ab kis se kahain aye jaan-e-vafa
Ye ahl-e-vafa kis aag main jaltay rehtay hain
Kiyoon bujh ker raakh nahin hotay

~Amjad Islam Amjad

Wednesday, January 17, 2007

Kiya Mila Mohabbat Se

Khaab ki musafat se
Vasl ki tamazat se
Roz-o-shab reyazat se
Kiya mila mohabbat se
Aik hijr ka sehra
Aik shaam yaadon ki
Aik thaka hua aansoo

~ Khalilullah Farooqui

Sunday, January 14, 2007

Yaadon ki Zanjeer

Vo makaa.n jis ke dareechay
Meri aahat he se khul jaatay thay
Jis ke be-khaab dar-o-baam
Sada mera liye chashm-barah rehtay thay
Ab hai khandar ki soorat
Khirkiyaan band hain
Darvaazay muqqaffil hain
Najanay kab se
Unhi rasto.n pe magar
Meray maanoos qadam
Ab bhi besaakhta uth jaatay hain
Dastakain de ke palat aata hoon

~Farigh Bukhari

Friday, January 12, 2007

Hum Log Na Thay Aisay

Hum log na thay aisay
Hain jesay nazar aatay
Aye vaqt gavahi de
Hum log na thay aisay
Ye shehr na tha aisa
Ye rog na thay aisay
Deevaar na thay rishtay
Zindaan na thee basti
Khaljaan na thee hasti
Yoon maut na thee sasti
Ye aaj jo soorat hai
Halaat na thay aisay
Yoon ghair na thay mausam
Din raat na thay aisay
Tafreeq na thee aisi
Sanjog na thay aisay
Aye vaqt gavahi de
Hum log na thay aisay

~ Amjad Islam Amjad

Wednesday, January 10, 2007

Aakhri Baat

Tuluu-e-shams-e-mufaarqat hai
Puraani kirnain naye makaanon ke aanganon main laraz rahi hain
Faseel-e-shehr-e-vafa ke rauzan chamaktay zarron se bhar gayee hain
Gaye dinon ki azeez baatain, nigaar subhain, gulaab raatain
Bisaat-e-dil bhi ajeeb shaye hai, hazaar jeetain, hazaar maatain
Judaaiyyon ki havaayen, lamhon ki khushk matti ura raheen hain
Gayee ruton ka malaal kab tak
Chalo ke shaakhain to toot.ti hain
Chalo ke qabron pe khoon ronay se
Apni aankhain he phoot.ti hain
Yeh mor vo hai jahaa.n se meray tumhaaray rastay badal gaye hain
Puraani raahon ko lautna bhi hamari taqdeer main nahin
Keh raastay bhi hamaaray qadmon ke saath aagay nikal gaye hain

Tuluu-e-shams-e-mufaarqat hai
Tum apni aankhon main jhilmilaatay huay sitaaron ko maut de do
Gayee ruton ke tamaam phoolon tamaam khaaron ko maut de do
Naye safar ko hayaat bakhsho
Keh pichli raahon pe sabt jitnay nuqoosh-e-paa hai
Vo baar hon ge
Hava uraaye keh tum uraao

~Amjad Islam Amjad