Wednesday, July 7, 2010

Us Ke Nazdeek

Us ke nazdeek gham-e-tark-e-vafa kuch bhi nahin
Mutmain aisa hai vo jesay hua kuch bhi nahin

Ab to haathon se lakeerain bhi miti jaati hain
Us ko kho ker to meray paas raha kuch bhi nahin

Kal bicharrna hai to phir ehd-e-vafa soch ke baandh
Abhi aaghaaz-e-muhabbat hai gaya kuch bhi nahin

Main to is vaastay chup hoon keh tamaasha na banay
Tu samajhta hai mujhay tujh se gila kuch bhi nahin

Chaar din reh gaye mailay mein magar ab ke bhi
Us nay aanay ke liye khat mein likha kuch bhi nahin

Aye Shumaar aankhain isi tarha bichaaye rakhna
Jaanay kis vaqt vo aa jaaye, pata kuch bhi nahin

~Akhtar Shumaar

12 comments:

  1. usay kehna
    gilay unhi say hotay hain
    jo dil k paas hotay hain
    shikayat unse hoti hay
    jo behad khas hotay hain
    mera tujse gila karna
    tumhain yunhi khafa karna
    teri taaeed k badlay jifa karna
    mohabat ki alaamat hay
    ye ulfat ki alamat hay
    isay jifa na samjhna
    mohabat main kabhi hargiz
    isay dil per nahi lena
    usay kehna mohabat ki tawaqu unse hoti hay
    k jiss say aas hoti hay
    gilay unhi say hotay hain
    jo dil k paas hotay hain
    ...............

    ReplyDelete
  2. Very nice. Thanks for sharing =)

    ReplyDelete
  3. Glad you liked it and thanks for completing it. Check the first misra of the first sher you posted in your comment... isn't there something missing there?

    ReplyDelete
  4. Nice Poem ..


    Here's a Sher from my side ..

    Koi aisa Ism-e-Azeem ho
    Mujhe terey dhukh se nijaat de ..!!

    ReplyDelete
  5. @Raheem: Bohot shukriya.

    @Abid: Long time no see. Nice sher :)

    ReplyDelete
  6. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  7. Raheem : is it so ??
    There's nothing to *MIND* man .. if u have the seperate versions of both poems please do post 'em ..

    Thanks for correcting me :)

    ReplyDelete
  8. nice poetry- my two bits

    Duniya main jub dil lagatay hain
    aur duniya dhoka daiti hai
    tu youn mensos hota hai
    kay ab tu bacaha kuch bhi nahi

    kub samjhay ga insaan
    kay ye mata e ghuror hai
    duniya dhokay kay saman
    kay siwa kuch bhi nahi

    ReplyDelete