Monday, July 28, 2008

Main Ne Is Taur Se Chaaha Tujhay Aksar Jaanaan

Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan

Jesay mehtaab ko be-ant samandar chaahay
Jesay sooraj ki kiran seep ke dil main utray
Jesay khushbu ko hava rang se hut ker chaahay
Jesay ghunchay khilay mausam se hina maangtay hain
Jesay khaabon main kheyaalon ki kamaa.n toot.ti hai
Jesay baarish ki dua aabla-pa maangtay hain

Mera her khaab meray such ki gavaahi de ga
Vus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh saraapa apna
Main ne duniya se alag teri parastish ki hai

Khahish e deed ka mosam kabhi dhundla jo hua
Noch dali hain zamano'n ki naqabain main nay
Teri palkon pe utarti hui subho'n kay liay
Torr dali hain sitaaro ki tanabain main nay

Main nay chaha k teray husn ki gulnar fiza
Meri ghazlon ki qataron se dehekti jaay
Main nay chaha k meray dil kay gulista'n ki bahar
Teri ankhon k gulabo'n se mehekti jaay

Tay to yeh tha k sajata rahay lafzon k kanwal
Meray khamosh khayalon main takallum tera
Raqs karta rahay, phirta rahay khushbu ka khumar
Meri khwahish k jazeeron main tabassum tera

Tu magar ajnabi mahol ki parwar-deh kiran
Meri bujhti hui raaton ko sahar kar na saki
Teri sanso'n main masihaai thi laikin tu bhi
Chara e zakhm e gham e deeda e tar kar na saki

Tujh ko ehsas hi kab hay k kisi dard ka daagh
Aankh say dil main utar jaay to kia hota hay
Tu k seemab tabeat hay tujhay kia maloom
Mausam e hijr theher jaay to kia hota hay

Tu nay us morr pay torra hay taaluq k jahan
Dekh sakta nahi koi bhi palat kar janaa'n
Ab ye aalam hay k ankhain jo khulain gi apni
Yaad aay ga teri deed ka manzar janaa'n

Mujh se mangay ga teray ehd e mohabbat ka hisab
Teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaa'n
Yoon meray dil k barabar tera gham aya hay
Jaisay sheeshay k muqabal koi pathar janaa'n

Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan

~Mohsin Naqvi

Wednesday, July 23, 2008

Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai

Yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kiya kitaab hai
Kaheen ik haseen sa khaab hai kaheen jaan leva azaab hai

Kaheen aansu'on ki hai daastaa.n kaheen muskurahaton ka hai bayaa.n
Kayee chehray is main chupay huay ik ajeeb si yeh niqaab hai

Kaheen kho diya kaheen pa liye kaheen ro liya kaheen ga liya
Kaheen cheen leti hai her khushi kaheen mehrbaa.n behisaab hai

Kaheen chaaon hai kaheen dhoop hai kaheen aur he koi roop hai
Kaheen barkaton ki hain baarishain kaheen tishnagi behisaab hai

~Ramish Ropri

Tuesday, July 8, 2008

Jalwa Baqadr-e-Zarf-e-Nazar Dekhtay Rahay

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhtay rahay
Kiya dekhtay hum un ko magar dekhtay rahay

Apna he aks pesh-e-nazar dekhtay rahay
Aaina rubaru tha jidhar dekhtay rahay

Un ki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Naqsh-o-nigaar-e-parda-e-darr dekhtay rahay

Aisi bhi kuch firaaq ki raatain guzar gayeen
Jesay unhi ko pesh-e-nazar dekhtay rahay

Her lehza shaan-e-husn badalti rahi Jigar
Her aan hum jahaan-e-jigar dekhtay rahay

~Jigar Muradabadi

http://www.naat.co.uk/details.php?file=1054701
~Jigar's kalaam in Abida Parveen's soulful voice. I feel you owe yourself to listen to it.

Sunday, July 6, 2008

Phir Aaina-e-Aalam Shayed Keh Nikhar Jaaye

Phir aaina-e-aalam shayed keh nikhar jaaye
Phir apni nazar shaayed taa hadd-e-nazar jaaye

Sehra pe lagay pehray aur qufl paray ban per
Ab sheher badar ho kar deevaana kidhar jaaye

Khaak-e-rah-e-jaanaa.n pe kuch khoo.n tha gira apna
Is fasl main mumkin hai yeh qarz utar jaaye

Dekh aayen chalo hum bhi jis bazm main suntay hain
Jo khanda-balb aaye vo khaak-basar jaaye

Ya khauf se darr guzrain ya jaa.n se guzar jaayen
Marna hai keh jeena hai ik baat theher jaaye

~Faiz Ahmed Faiz