Thursday, August 21, 2008

Hum Vo Bedard Hain

Hum vo bedard hain
Khaab ganva ker bhi jinhain neend aa jaati hai
Soch soch kar bhi jin ke zehnon ko kuch nahin hota
Toot phoot ker bhi jin ke dil dharakna yaad rakhtay hain
Hum vo bedard hain
Keh jin ke aansu
Aankhon ka rasta bhool jaatay hain
Toot ker ronay ki koshish main jo
Baat bebaat muskuraatay hain
Shaam se pehlay mar jaanay ki khaahish main jo
Jeetay hain aur
Jeetay he chalay jaatay hain

~Unknown

Sunday, August 17, 2008

Na Ganvaao Naavak-e-Neem Kash

Na ganvaao naavak-e-neem kash, dil-e-reza reza ganva diya
Jo bachay hain sang samet lo, tan-e-daagh daagh luta diya

Meray chaaragar ko naveed ho, saf-e-dushmanaa.n ko khabar karo
Vo jo qarz rakhtay thay jaan per, vo hisaab aaj chuka diya

Karo kaj jabee.n per sar-e-kafan, meray qaatilon ko gumaa.n na ho
Keh ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya

Udher aik harf ki kushtani, idher laakh uzr thay guftani
Jo kaha to sun ke ura diya, jo likha to parh ke mita diya

Jo rukay to koh-e-giraan thay hum jo chalay to jaa.n se guzar gaye
Rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhay yaadgaar bana diya

~Faiz Ahmed Faiz

Sunday, August 10, 2008

Din Raat Barasta Ho Jo Baadal Nahin Dekha

Din raat barasta ho jo baadal nahin dekha
Aankhon ki tarah koi bhi baadal nahin dekha

Kiyoon log yahaan detay hain rishton ki duhaayee
Is paer se hum ne to kabhi phal nahin dekha
Paer = darakht = tree

Insaan darindon ki tarah ghoom rahay hain
Shehron ki tarha koi bhi jungle nahin dekha

Tum ne meri aankhon ke qaseeday to likkhay hain
Lekin mera behta hua kaajal nahin dekha

Us ne bhi kabhi neend se rishta nahin rakkha
Main ne bhi koi khaab mukammal nahin dekha

~Anjum Rehber

Saturday, August 2, 2008

Main Bhi Hoon

Main bhi hoon matti ka putla
Main bhi ik dil rakhta hoon
Vo dil jo chaaha karta hai
Vo dil jo chaahay jaanay ki
Maasoom si khaahish rakhta hai
Vo dil jo kuch kuch paagal hai
Gheron ke dukh per kurhta hai
Apnon ke nishtar sehta hai
Aur phir bhi dharakta rehta hai
Jab aksar aisa hota hai
Dil bhi koi khaahish karta hai
Is khaahish main aur hasrat main
Koi deevaar nahin hoti
Aur lamha bhar main vo khahish
Hasrat main badal bhi jaati hai
Dil phir bhi dharakta rehta hai
Ab to mujh ko yeh lagta hai
Mera dil matti main reh ker
Khud mitti hota jaata hai
Aur ik din aisa aaye ga
Hasrat ki chataanon ke neechay
Dil ik din kuchla jaaye ga
Kiya us din koi roye ga
Marqad per meray aaye ga

~Sky Bolt