Wednesday, December 5, 2012

Kabhi Main Yaad Aaoon

Kabhi Main Yaad Aaon To
Kabhi Tanhai Ki Raatein
Tumhein Zyada Sataein To
Kabhi Titli Na Boley To
Kabhi Jugnoo Laut Jayein To
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye To
Koi Jab Sun Na Paaye To
Agar Sab Dost Saathi Bhi
Jo Tum Sy Rooth Jayein To
Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar
Thakan Sy Choor Ho Jao To
Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley
Ro Na Pao To
Apni Aankhon Ko Band Karna
Mujhy Aawaz Dena
Aur...
Phir Mere Tasawur Se
Jo Chaho Keh Dena
Mere Kaandhy Pe Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena
Phir Jab Khud Mein Laut Jao To
Issi Dunya Mein Chaley Jana
Magar Bass Itna Kehna Hai
K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein
Humein Dil Sy Pukaro Ge
Humein Saath Pao Ge
Humein Paas Pao Ge

Wednesday, November 28, 2012

Nazar Mila Na Sakay

Nazar mila na sakay us se us nigaah ke baad
Wohi hai haal hamara jo ho gunaah ke baad

Main kesay aur kis simt morrta khud ko
Kisi ki chaah na thi dil mein teri chaah ke baad

Zameer kaamp to jaata hai aap kuch bhi kahain
Vo ho gunaah se pehlay keh ho gunaah ke baad

Gavaah chaah rahay thay vo begunaahi ka
Zabaan se keh na saka kuch Khudagavah ke baad

Khatoot kar diye vaapas magar meri neendain
Unhain bhi chor do ik rehem ki nigaah ke baad

~Krishan Bihari Noor

Friday, September 14, 2012

Umr Jalvon Mein Basar Ho

Umr jalvon mein basar ho yeh zaroori to nahin
Her shab-e-gham ki seher ho yeh zaroori to nahin

Chashm-e-saaqi se piyo ya lab-e-saagar se piyo
Bekhudi aathon peher ho yeh zaroori to nahin

Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Un ki aaghosh mein sar ho yeh zaroori to nahin

Shaikh karta to hai masjid mein Khuda ko sajday
Us ke sajdon mein asar ho yeh zaroori to nahin

Sab ki nazron mein ho saaqi yeh zaroori hai magar
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaroori to nahin

~Khamosh Dehlvi

Thursday, April 12, 2012

Sher

Tujhe kia khabar teri yaad ne mujhe kaisay kaisay sata diya
Kabhi tanhaai main hansa diya kabhi mehfilon mein rula diya
Kabhi yoon hua teri yaad mein meri har namaaz qaza hui
Kabhi yoon hua teri yaad ne mujhe mere rabb se mila diya

Saturday, March 31, 2012

Teri Khushbu Ka

Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsaan hava karti hai

Shab ki tanhaai mein ab to aksar
Guftugu tujh se raha karti hai

Dil ko us raah pe chalna he nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Teray kehnay mein raha karti hai

Us ne dekha he nahin varna ye aankh
Dil ka ehvaal kaha karti hai

Shaam partay he kisi shakhs ki yaad
Koocha-e-jaa.n mein sada karti hai

Dukh hua karta hai kuch aur bayaa.n
Baat kuch aur hua karti hai

Abr barsay to inaayat us ki
Shaakh to sirf dua karti hai

Masla jab bhi utha chiraaghon ka
Faisla sirf hava karti hai

~Parveen Shakir

Wednesday, March 14, 2012

Jisay Aks Aks

Jisay aks aks ganva diya
Kabhi rubaru thi meray liye

Jisay naqsh naqsh mita diya
Kabhi chaar su thi meray liye

Jo had-e-hava se bhi door hai
Kabhi ku-ba-ku thi meray liye

Jo tapish hai mauj-e-saraab ki
Kabhi aabju thi meray liye

Jisay 'aap' likhta hoon khat mein ab
Kabhi sirf 'tu' thi meray liye

~Mohsin Naqvi

Saturday, January 14, 2012

Koi Chaaon Ho

Koi chaaon ho
Jisay chaaon kehnay mein
Dopeher ka gumaan na ho
Koi shaam ho
Jisay shaam kehnay mein shab ka koi nishaan na ho
Koi vasl ho
Jisay vasl kehnay mein hijr rut ka dhuaan na ho
Koi lafz ho
Jisay likhnay parhnay ki chaah mein
Kabhi aik lamha garaa.n na ho
Yeh kahaan hua hai keh hum tumhain
Kabhi apnay dil se pukaarnay ki sa'ii karain
Vohee.n aarzu be-amaa.n na rahay
Vohee.n mausam-e-gham-e-jaa.n na ho

~ Unknown