Sunday, November 11, 2007

Ye Dil

Ye dil bhulaata he nahin hai mohabbatain us ki
Pari hui thee.n mujhay kis qadar aadatain us ki

Ye mera saara safar us ki khushbu'on main kata
Mujhay to raah dikhaati thee.n chahatain us ki

Ghiri hui hoon main chehron ki bheer main lekin
Kahin nazar nahin aatee.n shabahatain us ki

Main door honay lagi hoon to aisa lagta hai
Keh chaaon jesi thee.n mujh per rafaqatain us ki

Ye kis gali main, kis shehr main nikal aaye
Kahaan pe reh gayeen logo sadaqatain us ki

Main baarishon main juda ho gayee hoon us se magar
Ye mera dil, meri saansain, amanatain us ki

~Noshi Gilani

*aaj meri ammi ki chauthi barsi hai. Dua kijiye ga ke Khuda un ki maghfirat farma ke un ke darajaat buland farmaaye. (Ameen)

Friday, November 9, 2007

Khud-daariyon Ke Khoon Ko Arzaa.n Na Kar Sakay

Khud-daariyo.n ke khoon ko arzaa.n na kar sakay
Hum apnay jauharo.n ko numaayaa.n na kar sakay

Ho kar kharaab-e-mae teray gham to bhula diye
Lekin gham-e-hayaat ka darmaa.n na kar sakay

Tootaa talism-e-ehd-e-muhabbat kuch is tarah
Phir aarzu ki shama ferozaa.n na kar sakay

Her shay qareeb aa ke kashish apni kho gayee
Vo bhi ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.n na kar sakay

Kis darjaa dil-shikan thay muhabbat ke haadsay
Hum zindagi main phir koi armaa.n na kar sakay

Maayoosiyo.n ne cheen liye dil ke valvalay
Vo bhi nishaat-e-rooh ka saamaa.n na kar sakay

~Sahir Ludhianvi

Dekhnay Ki To Kisay Taab Hai Magar Ab Tak

Dekhnay ki to kisay taab hai magar ab tak
Jab bhi us raah se guzro
To kisi dukh ki kasak tokti hai keh vo darvaza khula hai ab bhi
Aur us sehen main har su yoon he pehlay ki tarah
Farsh-e-nau-ummeediye deedaar bicha hai ab bhi
Aur dil kehta hai kahin aur chalay jaayen
Jahaan koi darvaza abas va ho
Aur na koi yaad fariyaad ka kashkol liye bethi ho
Mahram-e-hasrat-e-deedaar ho deevaar koi
Aur na koi saya-e-gul, hijrat-e-gul se veeraa.n ho
Yeh bhi kar dekha hai...
Yeh bhi kar dekha hai her baar magar raahon main
Des pardes ki bemahar guzargaahon main
Qaaflay qaamat-o-rukhsaar lab-o-gesu ke
Pardah-e-chashm pe yoon utray hain be-soorat-o-rang
Jis tarah band dareechon pe giray baarish-e-sang
Aur dil kehta hai her baar laut chalo
Is se pehlay ke vahaan jaayen to ye dukh bhi na ho
Vo nishaani, keh vo darvaza khula hai ab bhi
Aur us sehen main har soo yoon he pehlay ki tarah
Farsh-e-nau-ummeediye deedaar bicha hai ab bhi

~Faiz Ahmed Faiz