Friday, November 11, 2011

11.11.11 - 8 years later...


Na ab vo yaadon ka charhta dariya, na furqaton ki udaas barkha
Yunhi zara si kasak hai dil mein, jo zakhm gehra tha bhar gaya vo

Saturday, October 29, 2011

Chaand Ke Saath

Chaand ke saath meri baat na thi pehli si
Vo meray saath tha, per raat na thi pehli si

Aap ki yaad se hoti rahee.n her shab baatain
Roz miltay thay per yeh mulaqaat na thi pehli si

Yoo.n teri yaad mein nam rehnay lagi thee.n aankhain
Ashk barsay thay, vo barsaat na thi pehli si

Un se kehna unhain hum yaad bohot kartay hain
Dil ki dharkan ki koi baat nahin pehli si

Un se miltay he badalti gayee duniya meri
Vo tha pehla sa meri zaat na thi pehli si

~ Unknown

Wednesday, October 5, 2011

Mera Piya Ghar Aaya - Nusrat Fateh Ali Khan


Since my love just reached here to make me his forever. Getting married on Friday inshaAllah :)

Tuesday, September 20, 2011

Hamd

Main shajar hoon shehr-e-malaal ka, meri tehniyon ko nihaal ker
Kabhi bhej apni navazishain kisi jaam-e-abr mein daal ker

Mujhay khaar khaar musaafaton ki sitamgiri ne thaka diya
Mujhay manzilon ka suraagh de meray hauslon ko bahaal ker

Meray be-javaaz vajood per teri rehmaton ka javaaz hain
Vo nidamatain jinhain aankh mein kabhi rakh liya sambhaal ker

Haray mausamon ke nuqoosh to meri lauh-e-zehen se mit chalay
Yeh jo zard rut ke hain silsilay, ab inhain bhi khaab-o-khayaal ker

Friday, August 19, 2011

Us Ke Honay

Us ke honay ka yaqee.n jab humsafar ban jaaye ga
Dekh lena dasht mein bhi aik ghar ban jaaye ga

Yoon to donon he shanasa hain junoo.n ke vasf se
Be dili yoon hai keh yeh sab dard-e-sar ban jaaye ga

Us ki baataon ka ujaala us ki khushbu ka suroor
Hijraton ke safr mein rakht-e-safar ban jaaye ga

Subha dam us ka badan tha meri khushbu ka safeer
Kiya khabar thee vasl itna moetabar ban jaaye ga

Dheere dheere dekhna ik din vafa ka silsila
Kashti-e-dil ke liye gham ka bhanvar ban jaayega

~Unknown

Monday, August 8, 2011

:)

Meray aziz qaare'een,

Is blog ko chand saal pehlay Amjad Islam Amjad ki nazam, "tulu-e-shams-e-mufarqat hai" se shuru kiya tha, jab ammi se bicharnay ka dard apnay urooj per tha. Aisay main kitnay he dard alfaaz ka roop dhaal ker idher muntaqil hotay rahay, kitni khahishain hasratain ban ker safhay pe safha kaala karti raheen... meri umr ka aik bohot bara aur gehra hissa is blog mein hai. Meray tamaam aansoo idher hain.

Aur aaj mujhay aap sab ko yeh bataatay huay bohot khushi ho rahi hai keh meray tamaam dukhon ka madava Khuda ne aik behadd acchay shakhs ko bhej kar kar diya hai. Ab shayed is blog pe khushiyon se bharpoor shairi ke ilava aur kuch bhi na ho, kiyoonkeh main zindagi ki bohot piyari kefiyaat se guzar rahi hoon, apnay maseeha ko apna mohsin mantay huay, un ki sangat mein raah ke tamaam phool chuntay huay aik nayee dunia aabaad karnay jaa rahi hoon.

Hamain apni naik duaaon mein zaroor yaad rakkhiye ga keh in se anmol aur kuch bhi nahin hota.

~A

Saturday, June 25, 2011

Main Aur Woh

Bana ajnabi mera humsafar
Aur nazar bacha ke guzar gaya
Main tha raaston se bekhabar
Usay manzilon ka sha'oor tha
Na theen aur koi bhi ranjishain
Bus aadaton mein tazaad tha
Keh usay pasand theen shokhiyaan
Mujhay saadgi pe naaz tha

Friday, April 22, 2011

Thursday, April 21, 2011

Mairay Maalik

Mairay maalik tera karam hai
Tu ne her ik mausam
Hamaray liye he banaaya hai
Teri her ik rut mein
Chupi hamaari raahat hai
Pur-bahaar rut jab bhi aati hai
To mera dil machalnay lagta hai
Naye phool khiltay hain to
Dil angraaiyaan leta hai
Is mausam ke aatay he
Dil umeedain baandhta hai
Keh mera sajna mera saathi
Mera humdum mera maahi
Is bahaar rut mein to
Aan milay ga mujh se bhi

~ Kausar Khan

I normally don't go for stuff like this but I guess it's the simplicity and innocence of this poem that just makes me smile. Hope you'll enjoy it as well.

Saturday, April 9, 2011

Sheher Ko Choray

Sheher ko choray barson beetay jholi mein koi aas nahin
Un galiyon mein pohnch na paayen aisa bhi bin baas nahin

Jab se pyaar ki maala pehni jab se pyaar mein jog liya
Jis dharti ne gode mein paala vo dharti bhi raas nahin

Chaand utar ker baam pe aaya palkon per yeh raat dhali
Dil ki baat bataayen kis ko koi lutera paas nahin

Rang neyara roop pyaara phool khilay hain kiyaari mein
Soch samajh ker haar banaana in phoolon mein baas nahin

Geyaan ka saagar soch ki lehrain jeevan bhar ka rog nahin
Is per duniya paagal samjhay dukh sukh ka ehsaas nahin

Dhan daulat ki aag mein dekho tan man donon raakh huay
Lobh ki maari duniya yaaro koi yahaan ab daas nahin

Basti chori log bhi chootay chor diye vo rastay bhi
Aas niraas sabhi kuch chora chaahat ki ab pyaas nahin

Na vo pyaar ki dhoop ropehli n vo yaad ke phool khilay
Paaoon neechay dharti badli sar per vo aakaash nahin

~ Shafi Aqeel

Monday, March 28, 2011

Aaya he tha khayaal keh aankhain baras paree.n
Aa.nsu kisi ki yaad ke itna qareeb thay
--------------------------------------------

Hi guys,

My sister had the laptop for the weekend, so I couldn't post anything new this time. My apologies. Just wanted to let you know that I'm gonna be an aunt soon (inshaAllah) - in a couple of days :) Please remember my sister in your prayers. May Allah make this easy for her and may He grant the mother and the child lots of happiness and blessings.

Take care,
Paari Phuppo :D

Sunday, March 13, 2011

Naraaz Nuqoosh

Meray mehboob
Meri simt na dekh
Meri aankhon ko bhi nam rehnay de
Tark-e-khaahish ka bharam rehnay de
Phir pighal jaaye na seenay mein yeh dil
Kitni muddat mein bhulaaya hai machalna is ko
Kitni mushkil se sikhaaya hai keh jeenay ke liye
Yoo.n mohabbat se dharaknay ka hunar
Raayegaani ke siva kuch bhi nahin
Ik tamaasha hain vo saaray manzar
Jin ke chehron per hon taqdeer ke naraaz nuqoosh
Ab to tu khud se mukarnay de mujh ko
Meray mehboob nahin... aur nahin
Jism ko raakh na ker rooh ko shola na bana
Yoo.n meri simt na dekh

~ Noshi Gilani

Sunday, February 20, 2011

Khalish

ajeeb tarz-e-mulaaqaat ab ke bar rahi

tumhi thay badlay hue ya meri nigaahen theen
tumhari nazron se lagta tha jaisay meri bajaaye
tumhaare ghar me.n ko_ii aur shaKhs aayaa hai
tumhaare ohade kii dene tumhen mubaarak

so tum ne meraa suaagat usii tarah se kiyaa
jo afasaraan-e-hukuumat ke aiteqaad me.n hai
takallufan mere nazadiik aa ke baiTh gaye
phir ehatamaam se mausam kaa zikr chhe.D diyaa

kuchh us ke baad siyaasat kii baat bhii niklii
adab par bhii ko_ii do chaar tabsaray faramaaye
magar na tum ne hameshaa kii tarah ye puuchhaa
kyaa vaqt kaisaa guzarataa hai teraa jaan-e-hayaat

pahaa.D din kii aziiyat me.n kitanii shiddat hai
ujaa.D raat kii tanhaa_ii kyaa qayaamat hai
shabo.n kii sust ravii kaa tujhe bhii shikavaa hai
Gam-e-firaaq ke qisse nishaat-e-vasl kaa zikr
ravaayatan hii sahii ko_ii baat to kartay

~ Parveen Shakir

Saturday, January 29, 2011

Majnoo.n Ne Sheher



~ Allama Iqbal

-------------------------------
EXPLANATION:

This poem is about totality; drawing people's attention to the discrepancy between their intentions and the actions they take to act on these intentions.

So in the first sher:

Majnoo.n ne shehr chora, to sehra bhi chor de
Nazaaray ki havis ho, to laila bhi chor de

Referring to the famous romantic Arab tale of Laila and Qais (aka Majnoo.n [mad man]). After Majnoo.n couldn't get Laila, he went crazy and in that craze he left everything he had and took refuge in a desert; in an attempt to get away from the world. Iqbal is saying that if Majnoo.n wanted to leave everything, he should've left the desert too. Since he didn't, for maybe he wanted to enjoy the pleasures of life (mere existence), he should give up his beloved, because he doesn't love her as much as he thinks (since he didn't give up, literally, everything for her).

Vaaiz kamaal-e-tark se milti hai yaa.n muraad
Duniya jo chor dee hai to uqba bhi chor de

Iqbal is talking to preachers here, who say we should give up worldly desires in order to achieve the hereafter. So he says if giving up the desire of something guarantees the getting of another, then maybe we should give up the wish to gain the hereafter as well (so we would actually get it).

Taqleed ki ravish se to behtar hai khudkushi
Rasta bhi dhoond khizr ka sauda bhi chor de

Khizr (a.s) is the angel who takes on human form to guide lost travelers. According to the poet, it's better to commit suicide than follow in someone's footsteps (keeping in mind Iqbal was the poet who "woke" the Muslims of the Indo-Pak subcontinent and urged them to build a separate home for themselves where they would be free to live their lives according to their religious beliefs and values, and not be forced to live their lives according to any other guideline). So we should look for our own paths (destinies as well) and not rely on others. So in this sher Iqbal is again urging people to find their own ways and give-up banking on someone else to lead them.

Maanind khaama teri zabaa.n per hai harf-e-ghair
Begaana shay pe naazish-e-beja bhi chor de

Here Iqbal is saying that just like you can use a pen to write anything you want, be it true or false, you can say anything you want. So just like a pen, our tongues are our tools for saying things. But if we adopt someone else's tools, someone else's words, then that's something that's not rightfully ours. No matter how beautiful a thought, if it's not ours, then it's not right for us to take credit for it. Therefore we shouldn't take pride in regurgitating others' ideas. (Be your own person).

Lutf-e-kalaam kiya jo na ho dil mein dard-e-ishq
Bismal nahin hai tu to tarapna bhi chor de

Acc to the poet, you can't be moved by deep love sayings (can't translate 'kalaam' to English) if you don't have passion. So if you don't have fiery passion burning in your heart, then don't pretend to be moved by deep thoughts about love and passion.

Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chal
Is baagh mein qayaam ka sauda bhi chor de

I can't explain this one.

Hai aashqi mein rasm sab se alag bethna
But_khaana bhi, haram bhi, kaleesa bhi chor de

Those who are inflicted by love, tend to stay away from everyone, and are praying to their God to be united with their beloved. Drawing on that, Iqbal is saying if you want to stay away from everyone, then that would include God as well. So stay far away from temples, mosques and churches as well. Do give up everyone!

Saudagari nahin, yeh ibaadat Khuda ki hai
Aye bekhabar jaza ki tamanna bhi chor de

For most of us, life is a give and take. We love someone and expect them to love us back. We are nice to people and expect them to be nice to us too. So it's a trade. Iqbal is saying that ibaadat is not a trade. Don't obey God because you want something in return (namely reward); obey Him because the Almighty deserves to be obeyed.

Sunday, January 23, 2011

Tu Jo Kab Se Hai

Tu jo kab se hai dil mein jaagzee.n
Meri dharkanon ka hisaab kar
Tu jo kab se betha hai aankh mein
Koi raushni mera khaab ker

Bari be-amaa.n hai zindagi
Isay bun keh koi panaah milay
Koi chaand rakh meri shaam per
Meri shab ko mehka gulaab ker

Koi bad-gumaan sa vaqt hai
Koi bad-mizaaj si dhoop hai
Kisi saaya-daar se lafz ko
Meray jaltay dil ka hijaab ker

~Unknown

Friday, January 21, 2011

Bheer Dekhi To

Bheer dekhi to khayaal aaya hamain
Jaanay kab bicchray huay log milain
Jee mein aaya abhi tujh se kahain
Eid ka chaand mubarak ho tumhain
Hum bhi khaamosh hamain darr hai yahi
Lab khulain ge to pukaarain ge tumhain
Tum se bicchray huay barson beetay
Tum se kehna hai yahi aaj hamain
Maangna bhool na jaana hum ko
Chaand ko dekh kar gar haath uthain!

~Parveen Shakir

Sunday, January 9, 2011

Happy New Year

Dear readers,

I wish you a wonderfully happy new year. May this year bring you all that your heart desires, all that you need, things that you know you need and those that you don't yet know. May you be cured of all illnesses, bodily or otherwise, and may you be happy, healthy and content with yourself, your life, and everything that means something to you.

I started working near the end of November, which is why I'm not here as often as I want to be. The last post is a poem that I think captures my life these days. Just wanted to put this out there, so that whenever you're praying and for some reason you think about me, just ask God to give me wisdom.

Take care.

Main Apni Aankhon Ke

Main apni aankhon ke khaab likkhoon, saraab likkhoon
Ya zindagi ka vo baab likkhoon
Vo baab jis mein haqeeqatain hon, sadaqatain hon
Vo baab jis mein vo khaab meray
Saraab ban ke bikhar gaye hon
Vo khaab main ne
Na jaanay kitni riyazaton se saja rakkhay thay
Main zindagi ki uljhanon mein
Kuch is tarah se ulajh gaya hoon
Keh lamha lamha vajood mera sulag raha hai
Main apni jaanib nazar utha ke jo dekhta hoon
To sochta hoon
Yeh ajnabi koi aur ho ga, yeh main nahin hoon

~ Unknown