Saturday, March 31, 2012

Teri Khushbu Ka

Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsaan hava karti hai

Shab ki tanhaai mein ab to aksar
Guftugu tujh se raha karti hai

Dil ko us raah pe chalna he nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Teray kehnay mein raha karti hai

Us ne dekha he nahin varna ye aankh
Dil ka ehvaal kaha karti hai

Shaam partay he kisi shakhs ki yaad
Koocha-e-jaa.n mein sada karti hai

Dukh hua karta hai kuch aur bayaa.n
Baat kuch aur hua karti hai

Abr barsay to inaayat us ki
Shaakh to sirf dua karti hai

Masla jab bhi utha chiraaghon ka
Faisla sirf hava karti hai

~Parveen Shakir

No comments: