Faaslay aisay bhi hon ge ye kabhi socha na tha
Saamnay betha tha meray aur vo mera na tha
Vo keh khushbu ki tarah phela tha meray chaar su
Main usay mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha
Raat bhar us ki he aahat kaan main aati rahi
Jhaank ker dekha gali main koii bhi aaya na tha
Aks to maujood thay per aks tanhaayee ke thay
Aaiina to tha magar us main tera chehra na tha
Aaj us ne dard bhi apnay alehda kar diye
Aaj main roya to meray saath vo roya na tha
Ye sabhi veeraaniyaan us ke juda honay say theen
Aankh dhundlaayee huii thee shehr dhundlaya na tha
Yaad kar ke aur bhi takleef hoti thee Adeem
Bhool jaanay k siva ab koii bhi chaara na tha
~Adeem Hashmi
No comments:
Post a Comment