Friday, November 9, 2007

Dekhnay Ki To Kisay Taab Hai Magar Ab Tak

Dekhnay ki to kisay taab hai magar ab tak
Jab bhi us raah se guzro
To kisi dukh ki kasak tokti hai keh vo darvaza khula hai ab bhi
Aur us sehen main har su yoon he pehlay ki tarah
Farsh-e-nau-ummeediye deedaar bicha hai ab bhi
Aur dil kehta hai kahin aur chalay jaayen
Jahaan koi darvaza abas va ho
Aur na koi yaad fariyaad ka kashkol liye bethi ho
Mahram-e-hasrat-e-deedaar ho deevaar koi
Aur na koi saya-e-gul, hijrat-e-gul se veeraa.n ho
Yeh bhi kar dekha hai...
Yeh bhi kar dekha hai her baar magar raahon main
Des pardes ki bemahar guzargaahon main
Qaaflay qaamat-o-rukhsaar lab-o-gesu ke
Pardah-e-chashm pe yoon utray hain be-soorat-o-rang
Jis tarah band dareechon pe giray baarish-e-sang
Aur dil kehta hai her baar laut chalo
Is se pehlay ke vahaan jaayen to ye dukh bhi na ho
Vo nishaani, keh vo darvaza khula hai ab bhi
Aur us sehen main har soo yoon he pehlay ki tarah
Farsh-e-nau-ummeediye deedaar bicha hai ab bhi

~Faiz Ahmed Faiz

No comments: