Tuesday, May 13, 2008

Chehray Pe Meray Zulf Ko Phailaao Kisi Din

Chehray pe meray zulf ko phailaao kisi din
Kiya roz garajtay ho baras jaao kisi din

Raazon ki tarah utro meray dil main kisi shab
Dastak pe meray haath ki khul jaao kisi din

Peron ki tarah husn ki baarish main naha loon
Baadal ki tarah jhoom ke ghar aao kisi din
peron = darakhton = trees

Khushbu ki tarah guzro meray dil ki gali se
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko kheraat milay band-e-qaba ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisi din

Guzrain jo meray ghar se to ruk jaayen sitaaray
Is tarah meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni her ek saans usi raat ko de doon
Sar rakh ke meray seenay pe so jaao kisi din

~Amjad Islam Amjad

1 comment:

Ambareen said...

There's nothing for me to mind. In fact, I'm grateful for the corrections. Do feel free to correct the ones already posted and the ones that will be coming in the future.

Glad you liked the poem.