Yeh rukay agar to nishaa.n milay, yeh nishaa.n milay
Keh jo faaslon ki saleeb hai
Ye gari hui hai kahaan kahaan
Mere aasmaa.n se kidhar gayee tere iltefaat ki kehkashaan
Mere bekhabar, mere benishaa.n
Ye rukay agar to pata chalay
Main tha kis nagar, tu raha kahaan
Keh zaman-o-makaa.n ki vus'atain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Vo meray naseeb ki barishain
Meray chaar soo hai vo gubhaar-e-jaa.n, vo fishaar-e-jaa.n
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Mere khaab se teray baam tak
Teri rehguzar ka to zikr kia
Nahin zaufishaan tera naam tak
Hain dhuaan dhuaan meray usthakhvan
Meray aansuon mein bujhay huay meray ustakhvan
Meray naqsha gar, meray naqsha jaa.n
Isi raig-e-dasht-e-firaaq mein rahay muntazir teray muntazir
Meray khaab jin ke fishaar mein
Rahi meray haal se bekhabar
Teri rehguzar
Teri rehguzar ke jo naqsh hai meray haath per
Magar is bala ki hai teergi
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Vo jo chashm-e-sho’bida saaz thi vo uthay agar
Mere ustakhvan mein ho raushni
Usi aik lamha-e-deed mein teri rehguzar
Meri teera jaa.n mein chamak uthay
Meray khaab say tere baam tak
Sabhi manzaron mein damak uthay
Usi aik pal mein ho jaavidaa.n
Meri arzoo ke hai be-karaa.n
Meri zindagi ke hai mukhtasar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar
~Amjad Islam Amjad
No comments:
Post a Comment