Thursday, February 5, 2009

Ghazal

Mujhay raat gaye tak baahar rehnay per rokti rehti thi
Main us ki baatain sun kar hansi se uchaal deta tha
Kal se jaldi aaoon ga keh ker taal deta tha
Vo mujhe dekh kar muskura deti thi
Aur pyaar say chapat laga deti thi
Main usay bohot sataata tha, bohot nakhray dikhaata tha
Vo her baar mere naaz uthaati thi
Vo mere sadqe vaari jaati thi
Raat ke kisi pehar bhi ghar jo aata, us ko apna muntazir paata
Din raat us ke pyaar ki barsaat hoti
Us ki duaaein hamesha mere saath hoteen

Per ab..
Zindagi mein vo baat nahin hai
Kioonkeh vo mere saath nahin hai
Us ke piyaar bina dil ki zamee.n sookhi hai
Aikk vohi mukhlis thi saari duniya rookhi hai
Ghar jab lautoon vo nigaahain dhoondta hoon
Samaa jaaon jin mein vo baahain dhoondta hoon
Un jaghon ko dekhta rehta hoon
Jahaan beth ke vo mera intezaar karti thi
Main ghanton apna chehra dekhta hoon
Jahaan vo mujhe piyaar karti thi
Teri dua ke bagher sarkon per nikal jaata hoon
Her qadam her raste per thokar khaata hoon
Aye maa.n, tu laut aa ke mujhe abhi teri zaroorat hai

Main ghar jaldi laut aaoon ga
Khuda qasam tujhe kabhi na sataaon ga
Teri khidmat subha shaam karoon ga
Jo kahay gi vo her kaam karoon ga
Meray kaan phir say muntazir hain
Aik baar phir vo lori suna de
Aik arsa hua main soya nahin
Tu apni gode mein mujhay sula de
Kaash kabhi aisi duaaein na marteen
Kaash kisi ki maayen na marteen


~Unknown

No comments: