Sunday, June 14, 2009

Haqeeqat Ka Sooraj To Berehem Hai

Abhi choonkeh tum ho mohabbat ki rath per
To her shay chamakti nazar aa rahi hai
Abhi her taraf chaandni si khili hai
Abhi jaa-baja gul khilay dikh rahay hain
Abhi in havaaon mein khushbu rachi hai
Abhi khushnuma titliyaan raqs mein hain
Abhi bulbulain chehchahaati hain her su
Hava bhi athkheliyaan kar rahi hai
Abhi sarsarahat per sargoshiyon ka gumaa.n ho raha hai
Abhi sar pe aanchal bhi ghoonghat hai tum ko
Abhi ik sitaara hai maathay ki bindiya
Abhi chooriyaan gungunaati si mehsoos hon gee
Abhi dhool raston pe aye jaan-e-jaa.n
Baadlon ka gumaa.n ho raha hai
Abhi raaston ka her ik sangreza
Chamakta hua ik sitara hai tum ko
Abhi kehkashaayen zamee.n per utarti nazar aa rahi hain
Abhi chaar su ik dhanak si khili hai
Abhi ufq ta ufq chaandni hai
Abhi dil-farebi maza de rahi hai
Magar jab muhabbat ka parda hata to
Her ik shay ki soorat badal jaaye gee
Musarrat udaasi mein dhal jaaye gee
Sabhi dil-farebi pighal jaaye gee
Haqeeqat ka sooraj bara bemuravvat hai
Berehem hai

~Uzma Joon

rath = a chair (or any deat) descening from sky
raqs = dance
athkheliyaan = sharatain = mischiefs
sarsarahat = rattling (of air)
sargoshiyon = whispers
sangreza = kankar = small pebble
kehkashaayen = rainbows
dhanak = rainbow
ufq = sky, space (in the astronomical sense of the term)
dil-farebi = toying/tempting of the heart
musarrat = khushi = happiness
bemuravvat = uncaring

3 comments:

Shehar said...

do you know what's the meaning of "dil jo" in this couplet?

kitni dilkash ho tum, kitna dil jo hoon main
kya sitam hai ke hum log marr jayen gen

thanx =)

Ambareen said...

Sure. The word 'dil-jo' comes from 'dil-joyee'. Jo dil-joyee karta hai, usay dil-jo kehtay hain.

Dil-joyee = dil ka dukh dard baantna = comforter.

Hope it helps.

Shehar said...

thanks =)