Wednesday, August 12, 2009

Abhi Kiya Kahain

Abhi kiya kahain abhi kiya sunaayen
Keh sar-e-faseel-e-sukoot-e-jaa.n
Kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
Vo jo harf harf chiraagh tha
Usay kis hava ne bujha diya

Kabhi lab hilain ge to poochna

Sar-e-sehr-e-ehd-e-visaal-e-dil
Vo jo nikhaton ka hujoom tha
Usay dast-e-mauj-e-firaaq ne
Tah-e-khaak kab se mila diya

Kabhi gul khilain ge to poochna

Abhi kiya kahain abhi kiya sunaayen
Yoon he khaahishon ke fishaar mein
Kabhi besabab kabhi bekhalal
Kahaan kaun kis se bicharr gaya
Kisay kis ne kesay ganva diya

Kabhi phir milain ge to poochna

~ Mohsin Naqvi

No comments: