Tum ne to keh diya keh mohabbat nahin mili
Mujh ko to yeh bhi kehnay ki mohlat nahin mili
Neendon ke des jaatay koi khaab dekhtay
Lekin diya jalaanay se fursat nahin mili
Tujh ko to kher shehr ke logon ka khauf tha
Aur mujh ko apnay ghar se ijaazat nahin mili
Phir ikhtilaaf-e-raaye ki soorat nikal pari
Apni yahaan kisi se bhi aadat nahin mili
Bezaar yoon huay keh teray ehed mein hamain
Sab kuch mila sukoon ki daulat nahin mili
~ Noshi Gilani
mohlat = time
fursat = faraghat = spare time
ikhtilaaf-e-raaye = disagreement of opinion
bezaar = nonchalant
ehed = time period
2 comments:
dear i see your web and its best one please see my blog
www.sweet-ghazla@blogspot.com
you can contac me at this id
tahir.ashraf22@gmail.com
i shall wait of your rely
Best Regards
Tahir Ashraf
Thanks for liking my blog. I can't see yours though. Maybe you can check the spelling or something.
Post a Comment