Teri raah mein kartay thay sar talab, sar-e-rah-guzaar chalay gaye
Teri kaj-adaayee se haar ke, shab-e-intezaar chali gayee
Meray zabt-e-haal se rooth ker meray gham gusaar chalay gaye
Na savaal-e-vasl na arz-e-gham na hikaayatain ka shikaayatain
Tery ehd mein dil-e-zaar ke sabhi ikhtiyaar chalay gaye
Yeh hami thay keh jin ke libaas per sar-e-raah sayaahi likhi gayee
Yehi daagh thay jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yaar chalay gaye
Na raha junoon-e-rukh-e-hava, yeh rasan yeh daar karo ge kiya
Jinhay jurm-e-ishq pe naaz tha vo gunahgaar chalay gaye
~ Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment