Wednesday, June 16, 2010

"3:30 AM" Blues

Yaad-e-maazi azaab hai ya Rabb
Cheen le mujh se haafza mera
----------------------------------------

2 comments:

Anonymous said...

Zindagi k melay mein..
Khuahisho'n k relay mein..
Tum say kya kahain jaana..
Iss kadar jhamailay mein..
Waqt ki rawani hai..
Bakht ki garani hai..
Sakht be-zameeni hai..
Sakht la-makani hai..
Hijr k samander mein..
Takht aur takhtay ki..
Aik hi kahani hai..
Tum ko jo sunani hai..
Baat go zara c hai ..
Baat umer bhar ki hai..
(Umer bhar ki baatain kab do ghari mein hoti hain..)
Dard k samander mein un ginat jazeeray hain ..
Be shumaar moti hain..
Aankh k dareechay mein..
Tum nay jo sajaya tha..
Baat uss diye ki hai
Baat us gilay ki hai
Jo lahoo ki khilwat mein..
Chor ban k aata hai..
Lafz ki faseelon par..
Toot toot jata hai..
Zindagi say lambi hai..
Baat ratt jagay ki hai
Raastay mein kesay ho..
Baat takhliye ki hai..
Takhliye ki baatoo'n main..
Guftagu izafi hai..
Pyar karnay waloon ko,
ik nigah he kafi hai..
Ho sakay to sun jao..
Eik din akelay mein..
Tum se kya kehain jana..
Iss qadar jhamelay mein.......!!!

Ambareen said...

I absolutely love this poem. Meri diary mein bhi hai, pata nahin kabhi post kiyoon nahin ki.