Monday, October 11, 2010

Vohi Iztiraab-e-Firaaq

Vohi iztiraab-e-firaaq hai, vohi ishtiyaaq-e-visaal hai
Teri justuju mein jo haal tha, tujhay paa ke bhi vohi haal hai
iztiraab = extreme restlessness
firaaq = separation
ishtiyaaq = eagerness
visaal = union
justuju = desire

Na maal-e-zeest ki fikr hai, na tabaahiyon ka kheyaal hai
Mujhay sirf is ka malaal hai, keh tumhain bhi mera malaal hai
maal = money (or anything that has value)
zeest = life
tabaahiyon = disasters
malaal = sorrow

Teri aarzu ka he faiz hai, teri yaad he ka kamaal hai
Kabhi mujh ko tera kheyaal tha, magar aaj apna kheyaal hai
faiz = benefit
kamaal = miracle

Nahin koi rahnuma to kiya, hai khilaaf saari fiza to kiya
Mujhay fikr-e-sood-o-ziyaa.n ho kiyoon, teri yaad shaamil-e-haal hai
rahnuma = leader
sood = interest; benefit
ziyaa.n = loss

Mera haal aaj zuboo.n hai kiyoon, mera dard aaj fuzoo.n hai kiyoon
Mere meherbaa.n mere chaaragar, teri aabru ka savaal hai
zuboo.n = bad condition; lowest of lows
fuzoo.n = visible, bright
chaaragar = friend; he who listens
aabru = respect; reputation

~ Qabil Ajmeeri

No comments: