Sunday, September 27, 2015

Jab Bhi Ik Shaam

Jab bhi ik shaam yaad aati hai
Jesay duniya theher si jaati hai

Ik taraf dil hain, ik taraf duniya
Aur yeh scene kaainaati hai

Yoon bhi hota hai sher, baaz auqaat
Jesay bijli si koond jaati hai

Maut se hamkalaam honay ke
Zindagi raastay dikhaati hai

Haar hoti hai aarzi, us ko
Bay-dili, mustaqil banaati hai

Haadsay aik pal nahin ruktay
Zindagi hai keh chalti jaati hai

Is ke dam se hain raunaqain saari
Yeh jo duniya ki bay-sabaati hai

Baat koi samajh nahin aati
Baat itni samajh mein aati hai

~ Amjad Islam Amjad

1 comment:

Muhammad Ather said...

Baat koi samajh nahin aati, baat bs itni samajh aati ha... Kuch aesa hi dimagh hogya hai.