Friday, March 2, 2007

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Kheyaal Aata Hai...

Kabhi kabhi meray dil main kheyaal aata hai

Keh zindagi teri zulfo.n ki narm chaao.n main
Guzarnay paati to shadaab ho bhi sakti thee
Ye teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazr ki shuaao.n main kho bhi sakti thee

Ajab na tha keh main begaana-e-aalam ho ker
Teray jamaal ki ra'naaiyyon main kho rehta
Tera gudaaz badan, teri neembaar aankhain
Inhi haseen fasaano.n main mehev rehta

Pukaartee.n mujhay jab tilkhiyaa.n zamanay ki
Teray labon se halavat ke ghoont pee leta
Hayaat cheekhti phirti birhna-sar aur main
Ghaneri zulfo.n ke saaye main chup ke jee leta

Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Keh tu nahin, tera gham, teri justuju bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jesay
Isay kisi ke sahaaray ki aarzu bhi nahin

Zamaanay bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjaani guzargaaho.n se
Muheeb saaye meri simt barhtay aatay hain
Hayaat-o-maut ke pur-haul khaarah-zaaron se

Na koi jaada, na koi manzil, na roshni ka suraagh
Bhatak rahi hai khalaao.n main zindagi meri
Inhi khalaao.n main reh jaaoo.n ga kahee.n kho ker
Main jaanta hoon meri hum-nafs magar yoonhi

Kabhi kabhi meray dil main kheyaal aata hai...

~Sahir Ludhianvi

No comments: