Sunday, March 11, 2007

Mujh Se Pehli Si Muhabbat Meray Mehboob Na Maang

Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang
Main ne samjha tha keh tu hai to darakhshaa.n hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kiya hai
Teri soorat se hai aalam main bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya main rakkha kiya hai
Tu jo mil jaaye to taqdeer nigoo.n ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siva
Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang

An-ginat sadiyon ke taareek baheemana tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwaab main bunvaaye huay
Jaabaja biktay huay koocha-o-bazaar main jism
Khaak main lithray huay khoon main nehlaaye huay
Jism nikaalay huay amraaz ke tanooro.n se
Peep behti hui galtay huay naasooro.n se
Laut jaati hai udher ko bhi nazar kiya kiijay
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kiya kiijay
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki rahat ke siva
Mujh se pehli si muhabbat meray mehboob na maang

~Faiz Ahmed Faiz

No comments: