Teri rehmaton ke deyaar main teray baadalon ko pata nahin
Abhi aag sard nahin hui, abhi aik alaao bujha nahin
Meri bazm-e-dil to ujarr chuki, mera fars-e-jaa.n to simat chuka
Sabhi jaa chukay meri hamnashee.n magar aik shakhs gaya nahin
Dar-o-baam sab ne saja liye, sabhi raushni main naha liye
Meri ungliyaa.n bhi jhulas gayeen magar aik chiraagh jala nahin
Gham-e-zindagi! teri raah main shab-e-aarzu teri chaah main
Jo ujarr gaya vo basa nahin, jo bicharr gaya vo mila nahin
Jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh ke bhi door tha
Vahi aik gulaab ummeed ka meri shokh-e-jaa.n pe khila nahin
Pas-e-karvaa.n sar-e-rahguzar main shikasta paa hoon is liye
Keh qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin
Mira hamsafar jo ajeeb hai to ajeeb tar hoon main aap bhi
Mujhay manzilon ki khabar nahin usay raaston ka pata nahin
~Unknown
No comments:
Post a Comment