Aye door nagar ke banjaaray gar chor ke aisay jaana tha
Kiyoon chah ki raah dikhaani thee kiyoon piyaar ka haath barhaana tha
Hai duniya ke hangaamon main rangeeni bhi ra'naayee bhi
Her cheez yahaan ki piyaari hai mehroomi bhi rusvaayee bhi
Sab log yahaan per qismat ke be-taur thaperay sehtay hain
Per jeetay hain aur jeenay ki ik aas se chimtay rehtay hain
Aur tu to ik khilaari tha kiyoon khel he se moo.n mor liya
Kiyoon jaan ki baazi haar gaya kiyoon umr ka rishta tor liya
Go jaanay ke mushtaaq yahaan hum jesay laakh bechaaray hon
Vo log he rukhsat hotay hain jo log keh sab ko piyaaray hon
Is jug ki raat andheri main ik taara tha vo doob gaya
Aur vaaday saath nibhaanay ke sab bhool bhula ker khoob gaya
Aa mehfil chup chaap bethi hai aa mehfil ka jee shaad karain
Vo log jo teray aashiq hain kayee roz se tujh ko yaad karain
Vo tthor thikaanay dhoond aaye vo manzil manzil chu aaye
Ab aas lagaaye bethay hain kab dastak ho kab tu aaye
~Ibn Insha
1 comment:
Glad you liked it!
Post a Comment