Monday, July 27, 2009

Aye Ishq

Aye ishq na cher aa aa ke hamain
Hum bhoolay huon ko yaad na ker
Pehlay he bohot nashaad hain hum
Tu aur hamain nashaad na ker
Qismat ka sitam he kam nahin kuch
Yeh taaza sitam eejaad na ker
Yoon zulm na ker bedaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
sitam = cruelty

Jis din se milay hain donon ka
Sab chain gaya aaraam gaya
Chehron se bahaar-e-subha gayee
Aankhaon se farogh-e-shaam gaya
Haathon se khushi ka jaam chuta
Honton se hansi ka naam gaya
Ghamgee.n na bana nashaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
farogh = to promote

Raaton ko uth uth rotay hain
Ro ro ker duaayen kartay hain
Aankhon mein tasavvur dil mein khalish
Sar dhuntay hain aahain bhartay hain
Aye ishq yeh kesa rog laga
Jeetay hain na zaalim martay hain
Yeh zulm to aye jallaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
khalish = mental pinch, dissatisfaction
dhuntay = appreciative enjoyment, in way of head bobbing
jallaad = executioner

Yeh rog laga hai jab se hamain
Ranjeeda hoon main beemaar hai vo
Her waqt tapish her waqt khalish
Bekhaab hoon main bedaar hai vo
Jeenay se idher bezaar hoon main
Marnay pe udher taiyyaar hai vo
Aur zabt kahay fariyaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
rog = pest, defect, shortcoming

Duniya ka tamaasha dekh liya
Ghamgee.n si hai betaab si hai
Ummeed yahaan ik vehem si hai
Taskeen yahaan ik khaab si hai
Duniya mein khushi ka naam nahin
Duniya main khushi nayaab si hai
Duniya main khushi ko yaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
taskeen = satisfaction

~ Akhter Shirani

* This is not the full version. You can find the full version on urdupoetry.com.

No comments: