Dil-e-saada tumhain ab to yehi baavar karaana hai
Jisay tum yaad kartay ho, usay ab bhool jaana hai
baavar = to make something believe
Safar yeh vaapsi ka haulay haulay tay karo us ne
Tumhain aavaaz deni hai tumhain vaapas bulaana hai
Kinaaron se nikal sakti hain kab ye muztarib maujain
Inhain saahil se takraana hai aur phir laut jaana hai
muztarib = restless, antsy
Suno na meherbaa.n kuch meherbaa.n lamhon ki sargoshi
Mujhay kuch yaad rakhna hai tumhain kuch bhool jaana hai
sargoshi = whisper
~Jawad Ahmed Jawad
1 comment:
Oh wow. Yeh sher nazm ke aakhir mein jaaye ga? Thanks for completing the poem.
I'll listen to the parody.... right now!
Post a Comment