Vo log meray bohot pyaar karnay vaalay thay
Guzar gaye hain jo mausam guzarnay vaalay thay
Nayee ruton mein dukhon ke bhi silsilay naye
Ke zakhm taaza huay hain jo bharnay vaalay thay
Yeh kis muqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki
Keh ab to jaa ke kahin din sanvarne vaalay thay
Tamaam raat nahaaya tha sheher barish mein
Wo rang utar hi gaye jo utarnay vaalay thay
Us aik chotay say qasbay mein rail thehri nahin
Vahaan bhi chand musaafir utarnay vaalay thay
~ Jamal Ehsani
No comments:
Post a Comment